Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai

Amanullah Shad Sanai

ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai

Amanullah Shad Sanai

MORE BYAmanullah Shad Sanai

    ġhazal-goī ke fan yuuñ kabhī iz.hār hotā hai

    mohabbat dil se hotī hai nazar se pyaar hotā hai

    tasādum do nigāhoñ bhī kyā kyā gul khilātā hai

    samīm-e-qalb se phir ishq iqrār hotā hai

    mohabbat karne vāloñ hasīn anjām kyā jaano

    shagufta phuul khilte haiñ gul-e-gulzār hotā hai

    vo jis se pyaar kartā hai usī chaah meñ har-dam

    marīz-e-ishq ban ban kar sadā bīmār hotā hai

    zamāne jafāoñ koī shikva nahīñ hargiz

    vo maqtal meñ sajātā hai jo ḳhud dildār hotā hai

    dhaḌakte dil se ik duuje bāñhoñ meñ samā jaatā

    kaho ai 'shād' yahī anjām āḳhir hotā hai

    ghazal-goi ke fan ka yun kabhi izhaar hota hai

    mohabbat dil se hoti hai nazar se pyar hota hai

    tasadum do nigahon ka bhi kya kya gul khilata hai

    samim-e-qalb se phir ishq ka iqrar hota hai

    mohabbat karne walon ka hasin anjam kya jaano

    shagufta phul khilte hain gul-e-gulzar hota hai

    wo jis se pyar karta hai usi ki chah mein har-dam

    mariz-e-ishq ban ban kar sada bimar hota hai

    zamane ki jafaon ka koi shikwa nahin hargiz

    wo maqtal mein sajata hai jo KHud dildar hota hai

    dhaDakte dil se ek duje ki banhon mein sama jata

    kaho ai 'shad' yahi anjam aaKHir hota hai

    Source:

    (Pg. 259)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now