Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui

Abhishar Geeta Shukl

ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui

Abhishar Geeta Shukl

MORE BYAbhishar Geeta Shukl

    ġhazal meñ jab bhī na.e zāviyoñ baat huī

    tumhāre jism pe khilte tiloñ baat huī

    purāne zaḳhm ubhar aa.e jism par mere

    isī bahāne ka.ī dostoñ baat huī

    udaas log isī baat se haiñ ḳhush ki chalo

    hamāre saath hue hādsoñ baat huī

    ziyāda to nahīñ par itnā yaad hai mujh ko

    hamāre hoñT mile dhaḌkanoñ baat huī

    hamāre sāmne dūsre zikr huā

    diye ke sāmne āñdhiyoñ baat huī

    na.e se daur meñ kuchh aur to nahīñ huā par

    savāl kartī huī laḌkiyoñ baat huī

    ghazal mein jab bhi nae zawiyon ki baat hui

    tumhaare jism pe khilte tilon ki baat hui

    purane zaKHm ubhar aae jism par mere

    isi bahane kai doston ki baat hui

    udas log isi baat se hain KHush ki chalo

    hamare sath hue hadson ki baat hui

    ziyaada to nahin par itna yaad hai mujh ko

    hamare honT mile dhaDkanon ki baat hui

    hamare samne hi dusre ka zikr hua

    diye ke samne hi aandhiyon ki baat hui

    nae se daur mein kuchh aur to nahin hua par

    sawal karti hui laDkiyon ki baat hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now