ghaT ke pas se guzregi zara dhyan rahe
ghaaT ke paas se guzregī zarā dhyān rahe
fāltū baat na karnā ki mirā maan rahe
tū nahīñ thā to har ik shor bhī sannāTā thā
ya.anī ham saut-o-sadā meñ bhī pareshān rahe
ghar se niklā huuñ duā koī nahīñ saath mire
kaise mumkin hai ki ab rāsta āsān rahe
ḳhush-nasībī ki mujhe dekh ke vo hoñT khule
aur dukh ye ki mire naam se anjān rahe
tere aane pe ka.ī phuul khile the jin meñ
tere jaane se vo gul-dān pareshān rahe
haañ magar khiḌkiyāñ khulne lagīñ chillāne se
dar-o-dīvār ki be-jān the be-jān rahe
sāmnā ho to pashemānī na ho chehroñ par
kam se kam itnā ta'alluq to mirī jaan rahe
jis pe ik baar tirā naqsh-e-qadam paḌ jaa.e
kaise mumkin hai ki vo rāsta vīrān rahe
rauzan-e-shab ke darīchoñ se havā aatī rahe
sāñs-dar-sāñs har ik marhala āsān rahe
kāñpte haath se us but ko chhuā thā 'ārib'
kyā ajab hai ki salāmat mirā īmān rahe
ghaT ke pas se guzregi zara dhyan rahe
faltu baat na karna ki mera man rahe
tu nahin tha to har ek shor bhi sannaTa tha
yani hum saut-o-sada mein bhi pareshan rahe
ghar se nikla hun dua koi nahin sath mere
kaise mumkin hai ki ab rasta aasan rahe
KHush-nasibi ki mujhe dekh ke wo honT khule
aur dukh ye ki mere nam se anjaan rahe
tere aane pe kai phul khile the jin mein
tere jaane se wo gul-dan pareshan rahe
han magar khiDkiyan khulne lagin chillane se
dar-o-diwar ki be-jaan the be-jaan rahe
samna ho to pashemani na ho chehron par
kam se kam itna ta'alluq to meri jaan rahe
jis pe ek bar tera naqsh-e-qadam paD jae
kaise mumkin hai ki wo rasta viran rahe
rauzan-e-shab ke darichon se hawa aati rahe
sans-dar-sans har ek marhala aasan rahe
kanpte hath se us but ko chhua tha 'arib'
kya ajab hai ki salamat mera iman rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.