Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera

Mohammad Yusuf Rasikh

ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera

Mohammad Yusuf Rasikh

MORE BYMohammad Yusuf Rasikh

    ghaḌī bhar rañg nikhrā sūrat-e-gul-hā-e-tar merā

    usī hastī pe us gulshan meñ thā ye shor-o-shar merā

    nizām-e-bazm-e-duniyā hashr ke maidāñ naqsha hai

    yahī hai shāmat-e-isyāñ bhaTaknā dar-ba-dar merā

    samajhtā huuñ vasīla maġhfirat sharm-e-isyāñ ko

    ki ashkoñ se mire dhul jā.egā dāmān-e-tar merā

    fazā-e-ka.aba-e-at.har naqsha aañkh se dekhūñ

    ilāhī is havā meñ ḳhushk ho dāmān-e-tar merā

    dar-e-ka.aba pe jab sajde kiye āvāz ye aa.ī

    butoñ Thokareñ khā kar tujhe sūjhā hai ghar merā

    naqāb-e-husn jab uTThā to āñkheñ khul ga.iiñ merī

    faroġh-e-husn thā dam-bhar ko mānind-e-sharar merā

    use parde meñ rah kar bhī ḳhayāl aatā hai rah rah kar

    ki raaz ifshā na kar de ḳhalq meñ husn-e-bashar merā

    guzar kar ḳhāna-e-dil se baḌhūñ kyuuñ tuur jānib

    ki barq-e-husn se jalne ko hai maujūd ghar merā

    sanam qadmoñ pe girte haiñ zabāneñ band rahtī haiñ

    butoñ par ro.ab hai allāhu-akbar is qadar merā

    mohabbat har ik manzil pe sahrā-e-adam niklā

    ḳhizar bhī saath de sakte nahīñ har gaam par merā

    farishte bhī na samjhe aaj tak merī haqīqat ko

    ki tāj-e-ashraf-e-maḳhlūq zīnat hai sar merā

    zabāñ par zikr jaarī thā barābar hamd-e-ḳhāliq

    azal meñ kaam Thahrā mid.hat-e-ḳhairul-bashar merā

    zabān-e-sham.a maiñ ne kaaT hai bad-gumāñ ho kar

    ki raaz ifshā na kar de sub.h ko sham-e-sahar merā

    mirī hastī se pahle kaun samjhā sirr-e-vahdat ko

    rahegā tazkira dair-o-haram meñ umr-bhar merā

    vo qatra huuñ ki jis mauj meñ bahr-e-haqīqat hai

    vo zarra huuñ ki muñh takte haiñ ḳhurshīd-o-qamar merā

    dil-e-majrūh hālat pe rahm aayā masīhā ko

    davā ke naam par hañsne lagā zaḳhm-e-jigar merā

    zarā piine to de saaqī sharāb-e-ma.arifat mujh ko

    udhar phir jā.egā qibla bhī ruḳh hogā jidhar merā

    sadā-e-kalematul-haq meñ tirī tahrīk shāmil hai

    anal-haq kahtā hai har qatra-e-ḳhūn-e-jigar merā

    yahī sūrat hai ab taqdīr ke chakkar nikalne

    ilāhī āstāna ho haram aur sar merā

    tujhe ai charḳh kyā mālūm rutba dard-e-ulfat

    karegā naam raushan ḳhalq meñ dāġh-e-jigar merā

    tamannā hai ki 'rāsiḳh' hamd-goī ke vasīle se

    riyāz-e-dahr meñ naḳhl-e-suḳhan ho bār-var merā

    ghaDi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera

    usi hasti pe us gulshan mein tha ye shor-o-shar mera

    nizam-e-bazm-e-duniya hashr ke maidan ka naqsha hai

    yahi hai shamat-e-isyan bhaTakna dar-ba-dar mera

    samajhta hun wasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko

    ki ashkon se mere dhul jaega daman-e-tar mera

    faza-e-kaba-e-athar ka naqsha aankh se dekhun

    ilahi is hawa mein KHushk ho daman-e-tar mera

    dar-e-kaba pe jab sajde kiye aawaz ye aai

    buton ki Thokaren kha kar tujhe sujha hai ghar mera

    naqab-e-husn jab uTTha to aankhen khul gain meri

    farogh-e-husn tha dam-bhar ko manind-e-sharar mera

    use parde mein rah kar bhi KHayal aata hai rah rah kar

    ki raaz ifsha na kar de KHalq mein husn-e-bashar mera

    guzar kar KHana-e-dil se baDhun kyun tur ki jaanib

    ki barq-e-husn se jalne ko hai maujud ghar mera

    sanam qadmon pe girte hain zabanen band rahti hain

    buton par roab hai allahu-akbar is qadar mera

    mohabbat ki har ek manzil pe sahra-e-adam nikla

    KHizar bhi sath de sakte nahin har gam par mera

    farishte bhi na samjhe aaj tak meri haqiqat ko

    ki taj-e-ashraf-e-maKHluq ki zinat hai sar mera

    zaban par zikr jari tha barabar hamd-e-KHaliq ka

    azal mein kaam Thahra midhat-e-KHairul-bashar mera

    zaban-e-shama main ne kaT li hai bad-guman ho kar

    ki raaz ifsha na kar de subh ko sham-e-sahar mera

    meri hasti se pahle kaun samjha sirr-e-wahdat ko

    rahega tazkira dair-o-haram mein umr-bhar mera

    wo qatra hun ki jis ki mauj mein bahr-e-haqiqat hai

    wo zarra hun ki munh takte hain KHurshid-o-qamar mera

    dil-e-majruh ki haalat pe rahm aaya masiha ko

    dawa ke nam par hansne laga zaKHm-e-jigar mera

    zara pine to de saqi sharab-e-marifat mujh ko

    udhar phir jaega qibla bhi ruKH hoga jidhar mera

    sada-e-kalematul-haq mein teri tahrik shamil hai

    anal-haq kahta hai har qatra-e-KHun-e-jigar mera

    yahi surat hai ab taqdir ke chakkar nikalne ki

    ilahi aastana ho haram ka aur sar mera

    tujhe ai charKH kya malum rutba dard-e-ulfat ka

    karega nam raushan KHalq mein dagh-e-jigar mera

    tamanna hai ki 'rasiKH' hamd-goi ke wasile se

    riyaz-e-dahr mein naKHl-e-suKHan ho bar-war mera

    Source:

    Auraq-e-Pareshan (Pg. 4)

    • Author: Mohammad Yusuf Rasikh
      • Publisher: Mohammad Yusuf Rasikh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now