Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaDi ghaDi nae chehre badal rahe hain hum

Shayar Jamali

ghaDi ghaDi nae chehre badal rahe hain hum

Shayar Jamali

MORE BYShayar Jamali

    ghaḌī ghaḌī na.e chehre badal rahe haiñ ham

    na.ī hayāt ke sāñchoñ meñ Dhal rahe haiñ ham

    shab-e-sitam ke añdhere meñ sham.a mānind

    ḳhud apnī aag meñ sadiyoñ se jal rahe haiñ ham

    hazār vaqt ke tūfāñ ne Thokareñ mārīñ

    magar chaTān sūrat aTal rahe haiñ ham

    na rāhbar hai koī aur na manziloñ ke nishāñ

    na jaane kis ke sahāre pe chal rahe haiñ ham

    tamāzat-e-nigah-e-yār karishma hai

    ki aaj barf sūrat pighal rahe haiñ ham

    sajāo dār-o-rasan le ke aao zanjīreñ

    hudūd-e-sahn-e-chaman se nikal rahe haiñ ham

    hameñ talāsh na kiije amal duniyā meñ

    usuul ban ke kitāboñ meñ pal rahe haiñ ham

    ghaDi ghaDi nae chehre badal rahe hain hum

    nai hayat ke sanchon mein Dhal rahe hain hum

    shab-e-sitam ke andhere mein shama ki manind

    KHud apni aag mein sadiyon se jal rahe hain hum

    hazar waqt ke tufan ne Thokaren marin

    magar chaTan ki surat aTal rahe hain hum

    na rahbar hai koi aur na manzilon ke nishan

    na jaane kis ke sahaare pe chal rahe hain hum

    tamazat-e-nigah-e-yar ka karishma hai

    ki aaj barf ki surat pighal rahe hain hum

    sajao dar-o-rasan le ke aao zanjiren

    hudud-e-sahn-e-chaman se nikal rahe hain hum

    hamein talash na kije amal ki duniya mein

    usul ban ke kitabon mein pal rahe hain hum

    Source:

    Saheefa (Pg. 41)

    • Author: Shayar Jamali
      • Publisher: Shayar Jamali
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now