Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaDi ki suiyan Tik-Tik suna rahi hain mujhe

Zulfiqar Zaki

ghaDi ki suiyan Tik-Tik suna rahi hain mujhe

Zulfiqar Zaki

MORE BYZulfiqar Zaki

    ghaḌī sūiyāñ Tik-Tik sunā rahī haiñ mujhe

    guzarte vaqt se shāyad Darā rahī haiñ mujhe

    tire bayān ko lafzoñ kyā zarūrat hai

    ki ye ḳhamoshiyāñ sab kuchh batā rahī haiñ mujhe

    to kyā huā jo tirā pyaar mil nahīñ paayā

    tirī ye nafrateñ bhī raas aa rahī haiñ mujhe

    havā shoḳhiyāñ batlā rahī haiñ terā pata

    hasīn titliyāñ rasta dikhā rahī haiñ mujhe

    shab-e-firāq mire ham-navā tirī yādeñ

    ġhamoñ taal pe har dam nachā rahī haiñ mujhe

    koī to ho jo mujhe rok le sadā de kar

    mirī ye hasrateñ har ghumā rahī haiñ mujhe

    'zakī' ye raah ke patthar bhī mere rahbar haiñ

    ki in Thokareñ chalnā sikhā rahī haiñ mujhe

    ghaDi ki suiyan Tik-Tik suna rahi hain mujhe

    guzarte waqt se shayad Dara rahi hain mujhe

    tere bayan ko lafzon ki kya zarurat hai

    ki ye KHamoshiyan sab kuchh bata rahi hain mujhe

    to kya hua jo tera pyar mil nahin paya

    teri ye nafraten bhi ras aa rahi hain mujhe

    hawa ki shoKHiyan batla rahi hain tera pata

    hasin titliyan rasta dikha rahi hain mujhe

    shab-e-firaq mere ham-nawa teri yaaden

    ghamon ki tal pe har dam nacha rahi hain mujhe

    koi to ho jo mujhe rok le sada de kar

    meri ye hasraten har ja ghuma rahi hain mujhe

    'zaki' ye rah ke patthar bhi mere rahbar hain

    ki in ki Thokaren chalna sikha rahi hain mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now