Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek shakl mein surat nai malal ki hai

Irfan Sattar

har ek shakl mein surat nai malal ki hai

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    har ek shakl meñ sūrat na.ī malāl hai

    hamāre chāroñ taraf raushnī malāl hai

    ham apne hijr meñ terā visāl dekhte haiñ

    yahī ḳhushī hai sā.at, yahī malāl hai

    hamāre ḳhāna-e-dil meñ nahīñ hai kyā kyā kuchh

    ye aur baat ki har shai isī malāl hai

    abhī se shauq āzurdagī rañj na kar

    ki dil ko taab ḳhushī na thī malāl hai

    kisī rañj ho, apnā samajhne lagte haiñ

    vabāl-e-jāñ ye kushāda-dilī malāl hai

    nahīñ hai ḳhvāhish-e-āsūdgī-e-vasl hameñ

    javāz-e-ishq to bas tishnagī malāl hai

    guzishta raat ka.ī baar dil ne ham se kahā

    ki ho na ho ye ghuTan āḳhirī malāl hai

    ragoñ meñ chīḳhtā phirtā hai ek sail-e-junūñ

    agarche lahje meñ shā.istagī malāl hai

    ajiib hotā hai ehsās talavvun bhī

    abhī ḳhushī ḳhushī thii, abhī malāl hai

    ye kis umiid pe chalne lagī hai bād-e-murād?

    ḳhabar nahīñ hai use, ye ghaḌī malāl hai

    duā karo ki rahe darmiyāñ ye be-suḳhanī

    ki guftugū meñ to be-pardagī malāl hai

    tirī ġhazal meñ ajab kaif hai magar 'irfān'

    darūn-e-ramz-o-kināya kamī malāl hai

    har ek shakl mein surat nai malal ki hai

    hamare chaaron taraf raushni malal ki hai

    hum apne hijr mein tera visal dekhte hain

    yahi KHushi ki hai saat, yahi malal ki hai

    hamare KHana-e-dil mein nahin hai kya kya kuchh

    ye aur baat ki har shai isi malal ki hai

    abhi se shauq ki aazurdagi ka ranj na kar

    ki dil ko tab KHushi ki na thi malal ki hai

    kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain

    wabaal-e-jaan ye kushada-dili malal ki hai

    nahin hai KHwahish-e-asudgi-e-wasl hamein

    jawaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai

    guzishta raat kai bar dil ne hum se kaha

    ki ho na ho ye ghuTan aaKHiri malal ki hai

    ragon mein chiKHta phirta hai ek sail-e-junun

    agarche lahje mein shaistagi malal ki hai

    ajib hota hai ehsas ka talawwun bhi

    abhi KHushi ki KHushi thi, abhi malal ki hai

    ye kis umid pe chalne lagi hai baad-e-murad?

    KHabar nahin hai use, ye ghaDi malal ki hai

    dua karo ki rahe darmiyan ye be-suKHani

    ki guftugu mein to be-pardagi malal ki hai

    teri ghazal mein ajab kaif hai magar 'irfan'

    darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now