Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai

Neelam Malik

ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai

Neelam Malik

MORE BYNeelam Malik

    ghane añdhere meñ raushnī kalī khilī hai bahut bhalī hai

    ghuTan se dam TūTne lagā to havā chalī hai bahut bhalī hai

    maiñ apnī fāqa-zada ummīd par na kyoñ apnī jaan vārūñ

    ki in dukhoñ meñ aur aise hāloñ bhī ye palī hai bahut bhalī hai

    aTak rahā thā añdherā sāñsoñ meñ ḳhauf ḳhuuñ meñ gilā huā thā

    ai sub.h-e-kāzib jo chhoḌ kar zinda shab Talī hai bahut bhalī hai

    maiñ phir tirī ḳhair apne kaase meñ Daal luuñ ye nahīñ gavāra

    ki tere dar se uThī to jo zindagī milī hai bahut bhalī hai

    ye dil hai merā so is gunjāniyat ke haiñ muḳhtasar kavā.if

    tamām bastī tirā ghar hai tirī galī hai bahut bhalī hai

    maiñ chāñd ke paas ke dekhūñgī āsmāñ se pare manzar

    rahe tajassus falak pe khiḌkī jo ye khulī hai bahut bhalī hai

    ghane andhere mein raushni ki kali khili hai bahut bhali hai

    ghuTan se dam TuTne laga to hawa chali hai bahut bhali hai

    main apni faqa-zada si ummid par na kyon apni jaan warun

    ki in dukhon mein aur aise haalon bhi ye pali hai bahut bhali hai

    aTak raha tha andhera sanson mein KHauf KHun mein gila hua tha

    ai subh-e-kazib jo chhoD kar zinda shab Tali hai bahut bhali hai

    main phir teri KHair apne kase mein Dal lun ye nahin gawara

    ki tere dar se uThi to jo zindagi mili hai bahut bhali hai

    ye dil hai mera so is ki gunjaaniyat ke hain muKHtasar kawaif

    tamam basti tera hi ghar hai teri gali hai bahut bhali hai

    main chand ke pas ja ke dekhungi aasman se pare ka manzar

    rahe tajassus falak pe khiDki jo ye khuli hai bahut bhali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now