Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye

Faheem Jogapuri

ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye

Faheem Jogapuri

MORE BYFaheem Jogapuri

    ghar banāte vaqt is dhyān honā chāhiye

    dhuup rakhne ke liye dālān honā chāhiye

    tang galiyoñ tarah hargiz na rasm-o-rāh ho

    dostī meñ dil khulā maidān honā chāhiye

    ḳhūbsūrat guftugū kyā isti.āroñ ke baġhair

    is sahīfe ke liye juzdān honā chāhiye

    ho sake taaza havā mahbas-e-jāñ meñ guzar

    dil dīvāroñ meñ raushan-dān honā chāhiye

    sirf gul-poshī nahīñ hai mehmānī dalīl

    mezbāñ aañkh meñ gul-dān honā chāhiye

    sāhib-e-fahm-o-darak hone pe bhī aulād ko

    bāp-māñ ke sāmne nādān honā chāhiye

    chand lamhoñ ko Thaharnā hai yahāñ jabki 'fahīm'

    kam bahut kam sar-o-sāmān honā chāhiye

    ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye

    dhup rakhne ke liye dalan hona chahiye

    tang galiyon ki tarah hargiz na rasm-o-rah ho

    dosti mein dil khula maidan hona chahiye

    KHubsurat guftugu kya istiaron ke baghair

    is sahife ke liye juzdan hona chahiye

    ho sake taza hawa ka mahbas-e-jaan mein guzar

    dil ki diwaron mein raushan-dan hona chahiye

    sirf gul-poshi nahin hai mehmani ki dalil

    mezban ki aankh mein gul-dan hona chahiye

    sahib-e-fahm-o-darak hone pe bhi aulad ko

    bap-man ke samne nadan hona chahiye

    chand lamhon ko Thaharna hai yahan jabki 'fahim'

    kam bahut hi kam sar-o-saman hona chahiye

    Source:

    Dhoop Chhao.n (Pg. 28)

    • Author: Faheem Jogapuri
      • Publisher: Arshia Publications, Delhi
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now