Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar jala leta hai KHud apne hi anwar se tu

Shahzad Ahmad

ghar jala leta hai KHud apne hi anwar se tu

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    ghar jalā letā hai ḳhud apne anvār se

    kaaT detā hai zamīñ sāya-e-dīvār se

    is qadar tez na chal saañs ukhaḌ jā.egā

    tai na kar rāh-e-talab ek raftār se

    gosha-e-dil ḳhamoshī tamannā.ī maiñ

    aur hañgāme uThā laayā hai bāzār se

    to zarā bhī agar fitna hai barpā ho

    apnī qāmat na baḌhā turra-e-dastār se

    āñdhiyāñ uTThī haiñ vo dekh falak surḳh huā

    toda-e-reg pe baiThā hai baḌe pyaar se

    shab tārīkī meñ maiñ ne tujhe pahchān liyā

    jab huvaidā na huā sub.h ke āsār se

    muddatoñ se tirī āñkhoñ ke sadaf ḳhālī haiñ

    is qadar ḳhauf na khā abr-e-guhar-bār se

    tazkire kartā hai jalte hue sahrāoñ ke

    dasht ko dekhtā hai shahr dīvār se

    muntazir hai tirā ik umr se jañgal 'shahzād'

    is qadar duur na rah apne talabgār se

    ghar jala leta hai KHud apne hi anwar se tu

    kaT deta hai zamin saya-e-diwar se tu

    is qadar tez na chal sans ukhaD jaega

    tai na kar rah-e-talab ek hi raftar se tu

    gosha-e-dil ki KHamoshi ka tamannai main

    aur hangame uTha laya hai bazar se tu

    to zara sa bhi agar fitna hai barpa ho ja

    apni qamat na baDha turra-e-dastar se tu

    aandhiyan uTThi hain wo dekh falak surKH hua

    toda-e-reg pe baiTha hai baDe pyar se tu

    shab ki tariki mein main ne tujhe pahchan liya

    jab huwaida na hua subh ke aasar se tu

    muddaton se teri aankhon ke sadaf KHali hain

    is qadar KHauf na kha abr-e-guhar-bar se tu

    tazkire karta hai jalte hue sahraon ke

    dasht ko dekhta hai shahr ki diwar se tu

    muntazir hai tera ek umr se jangal 'shahzad'

    is qadar dur na rah apne talabgar se tu

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 385)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now