Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai

Saurabh Shekhar

ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai

Saurabh Shekhar

MORE BYSaurabh Shekhar

    ghar ke bāhar bhī to jhāñkā saktā hai

    aur kisī rasta dekhā saktā hai

    raat guzārī saktī hai taare gin kar

    din meñ chādar taan ke soyā saktā hai

    shikve duur kiye sakte haiñ yāroñ se

    is sunday ko phone ghumāyā saktā hai

    us ke jaisā ab kuchh hāsil hai mujh ko

    ab us ḳhvāhish ko chhoḌā saktā hai

    vaise paisa sab kuchh hai is duniyā meñ

    lekin paise par bhī thūkā saktā hai

    va.ada karne meñ kaisī ghabrāhaT pyāre

    va.ade se ik pal meñ palTā saktā hai

    mere an-dekhī karne hai kyā kāran

    kam se kam us se pūchhā saktā hai

    maiñ apne chehre se thoḌā uub gayā huuñ

    kyā apnā chehra bhī badlā saktā hai

    sher kahe sakte haiñ paripāTī vaale

    aur zamīnoñ par bhī sochā saktā hai

    dhīre dhīre zālim jaḌ khodo 'saurabh'

    rassī se chaTTān ko kaaTā saktā hai

    ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai

    aur kisi ka rasta dekha ja sakta hai

    raat guzari ja sakti hai tare gin kar

    din mein chadar tan ke soya ja sakta hai

    shikwe dur kiye ja sakte hain yaron se

    is sunday ko phone ghumaya ja sakta hai

    us ke jaisa hi ab kuchh hasil hai mujh ko

    ab us ki KHwahish ko chhoDa ja sakta hai

    waise paisa hi sab kuchh hai is duniya mein

    lekin paise par bhi thuka ja sakta hai

    wada karne mein kaisi ghabrahaT pyare

    wade se ek pal mein palTa ja sakta hai

    mere an-dekhi karne ka hai kya karan

    kam se kam us se puchha ja sakta hai

    main apne chehre se thoDa ub gaya hun

    kya apna chehra bhi badla ja sakta hai

    sher kahe ja sakte hain paripaTi wale

    aur zaminon par bhi socha ja sakta hai

    dhire dhire zalim ki jaD khodo 'saurabh'

    rassi se chaTTan ko kaTa ja sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now