Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua

Asim Qamar

ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua

Asim Qamar

MORE BYAsim Qamar

    ghar ke pahlū meñ khaḌā thā jo shajar ḳhatm huā

    ab darīche se havāoñ guzar ḳhatm huā

    lambī bīmārī ne kal āḳhrī hichkī le

    zindagī jiit ga.ī maut Dar ḳhatm huā

    ruuh ko chāhiye aisā koī jismānī paḌāo

    jis ko chhūte lage aaj safar ḳhatm huā

    shaam thī maiñ ne jise vaqt-e-sahar maan liyā

    raat ghir aa.ī to nairang-e-nazar ḳhatm huā

    muḌ ke jaate hue maiñ ne use dekhā bhī nahīñ

    aur jab baa'd meñ ġhusse asar ḳhatm huā

    ye jo nisbat hai 'ajab shai hai zarā dekheñ bhalā

    ek insān gayā saarā nagar ḳhatm huā

    ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua

    ab dariche se hawaon ka guzar KHatm hua

    lambi bimari ne kal aaKHri hichki le li

    zindagi jit gai maut ka Dar KHatm hua

    ruh ko chahiye aisa koi jismani paDao

    jis ko chhute hi lage aaj safar KHatm hua

    sham thi main ne jise waqt-e-sahar man liya

    raat ghir aai to nairang-e-nazar KHatm hua

    muD ke jate hue main ne use dekha bhi nahin

    aur jab ba'd mein ghusse ka asar KHatm hua

    ye jo nisbat hai 'ajab shai hai zara dekhen bhala

    ek insan gaya sara nagar KHatm hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now