Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai

Farhat Ehsas

ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    ghar meñ chīzeñ baḌh rahī haiñ zindagī kam ho rahī hai

    dhīre dhīre ghar apnī raushnī kam ho rahī hai

    shahr ke bāzār raunaq meñ dil bujhne lage haiñ

    ḳhuub ḳhush hone ḳhvāhish meñ ḳhushī kam ho rahī hai

    ab kisī ko bhī chhuo lagtā hai pahle se chhuā

    vo jo thī pahle-pahal sansanī kam ho rahī hai

    tai-shuda lafzoñ meñ karte haiñ ham iz.hār-e-mohabbat

    ab to pahle ishq meñ bhī an-kahī kam ho rahī hai

    le gayā ye shahr us ko mere pahlū se uThā kar

    mujh ko lagtā hai mirī dīvāngī kam ho rahī hai

    husn bāzār aanā jaanā bhī kuchh baḌh rahā hai

    kuchh mirī āñkhoñ bhī pākīzgī kam ho rahī hai

    vaqt DanDī mārtā hai tolne meñ merā hissa

    din bhī chhoTe paḌ rahe haiñ raat bhī kam ho rahī hai

    shahr koshish ki ḳhud ko aur pechīda banā le

    merī ye tashvīsh merī sādgī kam ho rahī hai

    sāhiloñ bastiyāñ ye dekh kar ḳhāmosh kyuuñ haiñ

    bastiyoñ ke phailne se nadī kam ho rahī hai

    shaam aate tumheñ rahtī hai ghar jaane jaldī

    'farhat-ehsās' in dinoñ āvārgī kam ho rahī hai

    ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai

    dhire dhire ghar ki apni raushni kam ho rahi hai

    shahr ke bazar ki raunaq mein dil bujhne lage hain

    KHub KHush hone ki KHwahish mein KHushi kam ho rahi hai

    ab kisi ko bhi chhuo lagta hai pahle se chhua sa

    wo jo thi pahle-pahal ki sansani kam ho rahi hai

    tai-shuda lafzon mein karte hain hum izhaar-e-mohabbat

    ab to pahle ishq mein bhi an-kahi kam ho rahi hai

    le gaya ye shahr us ko mere pahlu se uTha kar

    mujh ko lagta hai meri diwangi kam ho rahi hai

    husn ka bazar aana jaana bhi kuchh baDh raha hai

    kuchh meri aankhon ki bhi pakizgi kam ho rahi hai

    waqt DanDi marta hai tolne mein mera hissa

    din bhi chhoTe paD rahe hain raat bhi kam ho rahi hai

    shahr ki koshish ki KHud ko aur pechida bana le

    meri ye tashwish meri sadgi kam ho rahi hai

    sahilon ki bastiyan ye dekh kar KHamosh kyun hain

    bastiyon ke phailne se hi nadi kam ho rahi hai

    sham aate hi tumhein rahti hai ghar jaane ki jaldi

    'farhat-ehsas' in dinon aawargi kam ho rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now