ghar mein rahun to apni hi tanhaiyan Dasen
ghar meñ rahūñ to apnī hī tanhā.iyāñ Daseñ
niklūñ jo shahr meñ to shanāsā.iyāñ Daseñ
vo loch vo shabāb vo andāz-e-dilkashī
jā.ūñ jab us ke paas to añgḌā.iyāñ Daseñ
vo paas ho to sub.h-e-bahārāñ hai zindagī
vo duur ho to mujh ko ye añgnā.iyāñ Daseñ
tark-e-ta'alluqāt kā ehsās jaag jaa.e
aa aa ke yaad us kī jab achhā.iyāñ Daseñ
gumnām rah ke jin kī du'ā.eñ thiiñ mere saath
shohrat milī mujhe to vo parchhā.iyāñ Daseñ
us se nazar mile to ubhar aa.e dil kī choT
vo pher le nigāh to purvā.iyāñ Daseñ
dil TūTne ke raaz se vāqif nahīñ koī
phir bhī qabīle vāloñ kī dānā.iyāñ Daseñ
kuchh log be-hisī ke samundar meñ ġharq haiñ
mujh ko shu'ūr-o-fikr kī gahrā.iyāñ Daseñ
jab apnā ḳhuun bhī na ho apnā to phir 'atīq'
mujh ko mire ḳhulūs kī rusvā.iyāñ Daseñ
ghar mein rahun to apni hi tanhaiyan Dasen
niklun jo shahr mein to shanasaiyan Dasen
wo loch wo shabab wo andaz-e-dilkashi
jaun jab us ke pas to angDaiyan Dasen
wo pas ho to subh-e-bahaaran hai zindagi
wo dur ho to mujh ko ye angnaiyan Dasen
tark-e-ta'alluqat ka ehsas jag jae
aa aa ke yaad us ki jab achhaiyan Dasen
gumnam rah ke jin ki du'aen thin mere sath
shohrat mili mujhe to wo parchhaiyan Dasen
us se nazar mile to ubhar aae dil ki choT
wo pher le nigah to purwaiyan Dasen
dil TuTne ke raaz se waqif nahin koi
phir bhi qabile walon ki danaiyan Dasen
kuchh log be-hisi ke samundar mein gharq hain
mujh ko shu'ur-o-fikr ki gahraiyan Dasen
jab apna KHun bhi na ho apna to phir 'atiq'
mujh ko mere KHulus ki ruswaiyan Dasen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.