Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho

Rais Farogh

ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho

Rais Farogh

MORE BYRais Farogh

    ghar meñ sahrā hai to sahrā ko ḳhafā kar dekho

    shāyad aa jaa.e samundar ko bulā kar dekho

    dasht aag baḌī chiiz hai āñkhoñ ke liye

    shahr bhī ḳhuub jaltā hai jalā kar dekho

    tum ne ḳhushbū se kabhī ahd-e-vafā bāñdhā hai

    raushnī ko kabhī bistar meñ liTā kar dekho

    kis ne toḌā hai zamīñ aur qadam rishta

    aaj raat yahī khoj lagā kar dekho

    ye baraste hue bādal to na sone deñge

    koī bachpan kahānī sunā kar dekho

    hijr achchhā hai na ab us visāl achchhā hai

    is liye aur kahīñ ishq laḌā kar dekho

    ghar mein sahra hai to sahra ko KHafa kar dekho

    shayad aa jae samundar ko bula kar dekho

    dasht ki aag baDi chiz hai aankhon ke liye

    shahr bhi KHub hi jalta hai jala kar dekho

    tum ne KHushbu se kabhi ahd-e-wafa bandha hai

    raushni ko kabhi bistar mein liTa kar dekho

    kis ne toDa hai zamin aur qadam ka rishta

    aaj ki raat yahi khoj laga kar dekho

    ye baraste hue baadal to na sone denge

    koi bachpan ki kahani hi suna kar dekho

    hijr achchha hai na ab us ka visal achchha hai

    is liye aur kahin ishq laDa kar dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now