Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar se wo ghairat-e-pari nikla

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

ghar se wo ghairat-e-pari nikla

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni

    ghar se vo ġhairat-e-parī niklā

    mar gayā koī koī niklā

    apnā armāñ nahīñ kabhī niklā

    kab koī matlab-e-dilī niklā

    isī hasrat meñ tan se niklā

    armāñ na ek bhī niklā

    dushman apnā na dost niklā

    charḳh bhī darpa.e-badī niklā

    da.avā-e-ishq ham ko thā ab tak

    ġhair bhī aaj mudda'ī niklā

    gāliyāñ tak bhī mujh ko dete nahīñ

    is meñ kyā lutf-e-dushmanī niklā

    hijr roz hai ġhazab ḳhūñḳhār

    ki jahāñ aayā ḳhuun niklā

    abhī baiThe raho mirī bar meñ

    dil armāñ nahīñ abhī niklā

    jis ko kal us ne qatl kar Daalā

    vo hamārā aadmī niklā

    lab-e-mai-gūñ ke ishq meñ ab to

    mohtasib bhī sharāb niklā

    hijr-e-jānāñ hai ki maut mirī

    vo uThā bar se tan se niklā

    haif us rashk-e-zohra yūsuf

    ġhair-manhūs mushtarī niklā

    gāliyāñ dete jaao dil le lo

    ye nayā tarz-e-dilbarī niklā

    maut kyā apnī jaan le jaatī

    aañkh jo khol vahī niklā

    lab-e-jāñ-baḳhsh mat hilā qātil

    jo huā qatl vo niklā

    samjhe bulbul ko ham the ālam-e-ishq

    ik gulistāñ mubtadī niklā

    chaar go ġhalat huā dā'vā

    ek bosa to vājibī niklā

    ġhair ko chaar ham ko bose do

    ḳhuub qānūn-e-munsifī niklā

    ham ye samjhe ki bas vahī aayā

    shab-e-hijrāñ meñ jo koī niklā

    vā'da-e-vasl jo iifā meñ

    na unheñ 'uzr koī bhī niklā

    bole qaa.il kar diyā ham ko

    baḌā koī mantiqī niklā

    'sehr' ham rind jānte the tujhe

    to pahuñchā huā valī niklā

    ghar se wo ghairat-e-pari nikla

    mar gaya koi koi ji nikla

    apna arman nahin kabhi nikla

    kab koi matlab-e-dili nikla

    isi hasrat mein tan se ji nikla

    ji ka arman na ek bhi nikla

    dushman apna na dost hi nikla

    charKH bhi darpae-badi nikla

    dawa-e-ishq hum ko tha ab tak

    ghair bhi aaj mudda'i nikla

    galiyan tak bhi mujh ko dete nahin

    is mein kya lutf-e-dushmani nikla

    hijr ka roz hai ghazab KHunKHar

    ki jahan aaya KHun pi nikla

    abhi baiThe raho meri bar mein

    dil ka arman nahin abhi nikla

    jis ko kal us ne qatl kar Dala

    wo hamara hi aadmi nikla

    lab-e-mai-gun ke ishq mein ab to

    mohtasib bhi sharab pi nikla

    hijr-e-jaanan hai ya ki maut meri

    wo uTha bar se tan se ji nikla

    haif us rashk-e-zohra yusuf ka

    ghair-manhus mushtari nikla

    galiyan dete jao dil le lo

    ye naya tarz-e-dilbari nikla

    maut kya apni jaan le jati

    aankh jo khol di wahi nikla

    lab-e-jaan-baKHsh mat hila qatil

    jo hua qatl wo hi ji nikla

    samjhe bulbul ko hum the aalam-e-ishq

    ek gulistan ka mubtadi nikla

    chaar ka go ghalat hua da'wa

    ek bosa to wajibi nikla

    ghair ko chaar hum ko bose do

    KHub qanun-e-munsifi nikla

    hum ye samjhe ki bas wahi aaya

    shab-e-hijran mein jo koi nikla

    wa'da-e-wasl ki jo ifa mein

    na unhen 'uzr koi bhi nikla

    bole qail hi kar diya hum ko

    tu baDa koi mantiqi nikla

    'sehr' hum rind jaante the tujhe

    tu to pahuncha hua wali nikla

    Source:

    (Pg. 5)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now