Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka

Jaleel Manikpuri

ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    ghaTā diyā rutba har hasīñ miTā diyā rañg hūr-e-īñ

    nahīñ hai ye chāñd chaudhvīñ shabāb mere mah-jabīñ

    ye raat hai vasl mirī jaañ bhare haiñ dil meñ hazāroñ armāñ

    nahīñ na nikle zabāñ se haañ haañ are ye mauqa.a nahīñ nahīñ

    tabāh vahshat meñ huuñ maiñ dar dar abhī bigaḌ jaa.e ye banā ghar

    jo dil meñ rakkhūñ tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahīñ

    na qatl se mere haath khīñcho lahū bahā kar bahār dekho

    paḌegī uḌ kar jo chhīñT is banegī vo phuul āstīñ

    sitam thā bachpan vo zamāna ġhazab vo dil pasand aatā

    vo god meñ merī loT jaanā machal machal kar kisī hasīñ

    tumhīñ se rū-e-zamīñ mo.attar tumhīñ se sat.h-e-falak munavvar

    tumhīñ to ho phuul yāsmīñ tumhīñ to ho chāñd chaudhvīñ

    udhar sabā ne ye gul khilāyā chaman meñ kaliyoñ ko gudgudāyā

    idhar hañsī ne sitam ye Dhāyā ki muñh liyā chuum us hasīñ

    ye raat itnī jo baḌh ga.ī hai siyāhī itnī jo chaḌh ga.ī hai

    kahīñ khulā hai zarūr joḌā kisī ke gesū-e-ambarīñ

    jo ġhair se yaar milā hai to dekh kaisā Dubo rahā hai

    tujhe mire āñsuoñ dariyā mujhe pasīna tirī jabīñ

    na bahr jaarī sahāb se hai na chaah labrez aab se hai

    vo dāman-e-tar ik laqab hai ye naam hai merī āstīñ

    jo dekh le us sūrat insān agar ho kāfir to laa.e īmāñ

    jamāl kyā hai but-e-hasīñ kamāl hai sūrat-āfrīñ

    na shauq-e-nazzāra mujh se pūchho ye kah ke sotā huuñ roz shab ko

    uThūñ jo maiñ sub.h ko ilāhī to muñh dikhānā kisī hasīñ

    kuchh aisī maiñ ne jab.ha-sā.ī ki miT ga.ī baḳht burā.ī

    milā jo us dar se dāġh-e-sajda sitāra chamkā mirī jabīñ

    zabāñ se ho shukr adā kahāñ tak baḌā thā dil-navāz nāvak

    kuchh is adā se jigar pe baiThā maza milā yār-e-ham-nashīñ

    phirā adam se na koī hamdam ki haal yāroñ pūchhte ham

    ajiib dilchasp hai do-ālam ki jo gayā ho gayā vahīñ

    araq araq hai jo rū-e-gul-gūñ ye ḳhuub mauqa.a hai ab na chaukūñ

    maiñ sarnavisht apnī dho Dālūñ pasīna le kar tirī jabīñ

    'jalīl' kyā baat is suḳhan ġhazal meñ hai tāzgī chaman

    jo sher hai shāḳh nastaran jo lafz hai phuul yāsmīñ

    ghaTa diya rutba har hasin ka miTa diya rang hur-e-in ka

    nahin hai ye chand chaudhwin ka shabab ka mere mah-jabin ka

    ye raat hai wasl ki meri jaan bhare hain dil mein hazaron arman

    nahin na nikle zaban se han han are ye mauqa nahin nahin ka

    tabah wahshat mein hun main dar dar abhi bigaD jae ye bana ghar

    jo dil mein rakkhun tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahin ka

    na qatl se mere hath khincho lahu baha kar bahaar dekho

    paDegi uD kar jo chhinT is ki banegi wo phul aastin ka

    sitam tha bachpan ka wo zamana ghazab wo dil ka pasand aata

    wo god mein meri loT jaana machal machal kar kisi hasin ka

    tumhin se ru-e-zamin moattar tumhin se sath-e-falak munawwar

    tumhin to ho phul yasmin ka tumhin to ho chand chaudhwin ka

    udhar saba ne ye gul khilaya chaman mein kaliyon ko gudgudaya

    idhar hansi ne sitam ye Dhaya ki munh liya chum us hasin ka

    ye raat itni jo baDh gai hai siyahi itni jo chaDh gai hai

    kahin khula hai zarur joDa kisi ke gesu-e-ambarin ka

    jo ghair se yar tu mila hai to dekh kaisa Dubo raha hai

    tujhe mere aansuon ka dariya mujhe pasina teri jabin ka

    na bahr jari sahab se hai na chah labrez aab se hai

    wo daman-e-tar ka ek laqab hai ye nam hai meri aastin ka

    jo dekh le us ki surat insan agar ho kafir to lae iman

    jamal kya hai but-e-hasin ka kamal hai surat-afrin ka

    na shauq-e-nazzara mujh se puchho ye kah ke sota hun roz shab ko

    uThun jo main subh ko ilahi to munh dikhana kisi hasin ka

    kuchh aisi ki main ne jabha-sai ki miT gai baKHt ki burai

    mila jo us dar se dagh-e-sajda sitara chamka meri jabin ka

    zaban se ho shukr ada kahan tak baDa hi tha dil-nawaz nawak

    kuchh is ada se jigar pe baiTha maza mila yar-e-ham-nashin ka

    phira adam se na koi hamdam ki haal yaron ka puchhte hum

    ajib dilchasp hai do-alam ki jo gaya ho gaya wahin ka

    araq araq hai jo ru-e-gul-gun ye KHub mauqa hai ab na chaukun

    main sarnawisht apni dho hi Dalun pasina le kar teri jabin ka

    'jalil' kya baat is suKHan ki ghazal mein hai tazgi chaman ki

    jo sher hai shaKH nastaran ki jo lafz hai phul yasmin ka

    Source:

    Taaj-e-sukhan (Pg. ebook-44 page-17)

    • Author: Jang Bahadur Jalil
      • Edition: 1931
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now