Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe

Nawab Moazzam Jah Shaji

ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe

Nawab Moazzam Jah Shaji

MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji

    ghaTā.eñ chhā.ī haiñ sāġhar uThā le jis chāhe

    ye mai-ḳhāna hai qismat aazmā le jis chāhe

    mohabbat karne vāloñ jahāñ meñ kaun hotā hai

    koī apnā nahīñ ham ko satā le jis chāhe

    ġham-e-daurāñ se bachnā zindagī meñ ġhair-mumkin hai

    ġham-e-jānāñ ko siine se lagā le jis chāhe

    kise miltī hai fursat umr-bhar aañsū bahāne se

    kalī tarah dam-bhar muskurā le jis chāhe

    'shajī.a' is zindagī meñ ham talabgār-e-mohabbat haiñ

    mohabbat se hameñ apnā banā le jis chāhe

    ghaTaen chhai hain saghar uTha le jis ka ji chahe

    ye mai-KHana hai qismat aazma le jis ka ji chahe

    mohabbat karne walon ka jahan mein kaun hota hai

    koi apna nahin hum ko sata le jis ka ji chahe

    gham-e-dauran se bachna zindagi mein ghair-mumkin hai

    gham-e-jaanan ko sine se laga le jis ka ji chahe

    kise milti hai fursat umr-bhar aansu bahane se

    kali ki tarah dam-bhar muskura le jis ka ji chahe

    'shajia' is zindagi mein hum talabgar-e-mohabbat hain

    mohabbat se hamein apna bana le jis ka ji chahe

    Source:

    Jazbat-e-Shajee (Pg. 76)

    • Author: Nawab Moazzam Jah Shaji
      • Edition: 1983
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now