Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh

Mustafa Zaidi

qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    qadam qadam pe tamannā-e-iltifāt to dekh

    zavāl-e-ishq meñ saudāgaroñ haat to dekh

    bas ek ham the jo thoḌā sar uThā ke chale

    isī ravish pe raqīboñ ke vāqi.āt to dekh

    ġham-e-hayāt meñ hāzir huuñ lekin ek zarā

    nigār-e-shahr se mere ta.alluqāt to dekh

    ḳhud apnī aañch meñ jaltā hai chāñdnī badan

    kisī ke narm ḳhunuk gesuoñ raat to dekh

    atā kyā dil-e-muztar to diye mere hoñT

    ḳhudā-e-kaun-o-makāñ ke tavahhumāt to dekh

    gunāh meñ bhī baḌe ma.arifat ke mauqe haiñ

    kabhī kabhī use be-ḳhadsha-e-najāt to dekh

    qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh

    zawal-e-ishq mein saudagaron ka hat to dekh

    bas ek hum the jo thoDa sa sar uTha ke chale

    isi rawish pe raqibon ke waqiat to dekh

    gham-e-hayat mein hazir hun lekin ek zara

    nigar-e-shahr se mere talluqat to dekh

    KHud apni aanch mein jalta hai chandni ka badan

    kisi ke narm KHunuk gesuon ki raat to dekh

    ata kya dil-e-muztar to si diye mere honT

    KHuda-e-kaun-o-makan ke tawahhumat to dekh

    gunah mein bhi baDe marifat ke mauqe hain

    kabhi kabhi use be-KHadsha-e-najat to dekh

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf) (Pg. 88)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now