Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

Jan Nisar Akhtar

chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    chauñk chauñk uThtī hai mahloñ fazā raat ga.e

    kaun detā hai ye galiyoñ meñ sadā raat ga.e

    ye haqā.eq chaTānoñ se tarāshī duniyā

    oḌh letī hai tilismoñ ridā raat ga.e

    chubh ke rah jaatī hai siine meñ badan ḳhushbū

    khol detā hai koī band-e-qabā raat ga.e

    aao ham jism sham.oñ se ujālā kar leñ

    chāñd niklā bhī to niklegā zarā raat ga.e

    na ab aa.e to kyā aaj talak aatī hai

    sīḌhiyoñ se tire qadmoñ sadā raat ga.e

    chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae

    kaun deta hai ye galiyon mein sada raat gae

    ye haqaeq ki chaTanon se tarashi duniya

    oDh leti hai tilismon ki rida raat gae

    chubh ke rah jati hai sine mein badan ki KHushbu

    khol deta hai koi band-e-qaba raat gae

    aao hum jism ki shamon se ujala kar len

    chand nikla bhi to niklega zara raat gae

    tu na ab aae to kya aaj talak aati hai

    siDhiyon se tere qadmon ki sada raat gae

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now