aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega

Musavvir Sabzwari

ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    ghirā huuñ do qātiloñ zad meñ vajūd merā na bach sakegā

    maiñ zard jañgal se bach gayā to pahāḌ ik mushta.il milegā

    hazīmatoñ ke safar raahī ufuq ko dekhegā bebasī se

    ufuq se baḌhtā huā samundar zamīñ ko qadmoñ se khīñch legā

    jalā ke ghar se raqīb sham.eñ havā meñ ham tum nikal paḌe haiñ

    yahī hai donoñ ko intizār ab ki pahle kis diyā bujhegā

    phir ek saffāk saḳht jhoñkā barahana-tar kar gayā shajar ko

    jab us ko dekhoge ḳhatm-e-shab meñ to patte patte se Dar lagegā

    gudāz jismoñ āhaToñ tilism TuuTā navāh-e-jāñ meñ

    fazā se ab koī haath baḌh kar ujaḌte mausam meñ aag degā

    ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega

    main zard jangal se bach gaya to pahaD ek mushtail milega

    hazimaton ke safar ka rahi ufuq ko dekhega bebasi se

    ufuq se baDhta hua samundar zamin ko qadmon se khinch lega

    jala ke ghar se raqib shamen hawa mein hum tum nikal paDe hain

    yahi hai donon ko intizar ab ki pahle kis ka diya bujhega

    phir ek saffak saKHt jhonka barahana-tar kar gaya shajar ko

    jab us ko dekhoge KHatm-e-shab mein to patte patte se Dar lagega

    gudaz jismon ki aahaTon ka tilism TuTa nawah-e-jaan mein

    faza se ab koi hath baDh kar ujaDte mausam mein aag dega

    Source:

    dahliiz per utartii shaam (Pg. 102)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now