ghuT-ghuT ke apne dil ki marammat karega kaun
ghuT-ghuT ke apne dil kī marammat karegā kaun
us bevafā bashar se muravvat karegā kaun
jab tak hijāb ho to rahe ārzū-e-dīd
aa.e jo be-hijāb to hasrat karegā kaun
zāhid tumhāre haath meñ sāġhar hai kis liye
gar tum piyoge ham pe malāmat karegā kaun
ḳhud ko hī apnā dushman-e-jānī banā liyā
kam-zarf dushmanoñ se 'adāvat karegā kaun
'ahras' tumhāre dil meñ hai vahshat kā ik jahāñ
tum hī batāo tum se mohabbat karegā kaun
ghuT-ghuT ke apne dil ki marammat karega kaun
us bewafa bashar se murawwat karega kaun
jab tak hijab ho to rahe aarzu-e-did
aae jo be-hijab to hasrat karega kaun
zahid tumhaare hath mein saghar hai kis liye
gar tum piyoge hum pe malamat karega kaun
KHud ko hi apna dushman-e-jaani bana liya
kam-zarf dushmanon se 'adawat karega kaun
'ahras' tumhaare dil mein hai wahshat ka ek jahan
tum hi batao tum se mohabbat karega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.