Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghuT-ghuT ke tere ishq mein kitna raha hun main

Vatsal Sharma Vats

ghuT-ghuT ke tere ishq mein kitna raha hun main

Vatsal Sharma Vats

MORE BYVatsal Sharma Vats

    ghuT-ghuT ke tere 'ishq meñ kitnā rahā huuñ maiñ

    itnā ki apne saath bhī tanhā rahā huuñ maiñ

    nā-paidā maiñ hayāt-o-qazā ke bharam huuñ

    hotā rahā huuñ saath meñ khotā rahā huuñ maiñ

    āñkheñ charāġh-e-muflisāñ se kam nahīñ mirī

    har ashk ko sañbhāl ke rotā rahā huuñ maiñ

    phir dil chalā na jaa.e kahīñ 'ishq-e-dost meñ

    dushman ḳhud ko aap Thahrā rahā huuñ maiñ

    dil meñ lage ki tan meñ lage aag aag hai

    zinda chitā 'ishq meñ jaltā rahā huuñ maiñ

    kahtā thā maar Dālegā marnā tirā mujhe

    kaise batā.ūñ tujh ko ki jiitā rahā huuñ maiñ

    detā vajah kaash mujhe tark-e-'ishq

    zulm apne ḳhayāl ke sahtā rahā huuñ maiñ

    maiñ bhāgtā rahā huuñ haqīqat se 'ishq

    aur 'ishq ke ḳhayāl meñ baiThā rahā huuñ maiñ

    she'r-o-suḳhan raah meñ tanhā.ī saath hai

    jo bhī ye boltī hai so dohrā rahā huuñ maiñ

    ghuT-ghuT ke tere 'ishq mein kitna raha hun main

    itna ki apne sath bhi tanha raha hun main

    na-paida main hayat-o-qaza ke bharam sa hun

    hota raha hun sath mein khota raha hun main

    aankhen charagh-e-muflisan se kam nahin meri

    har ashk ko sanbhaal ke rota raha hun main

    phir dil chala na jae kahin 'ishq-e-dost mein

    dushman hi KHud ko aap ka Thahra raha hun main

    dil mein lage ki tan mein lage aag aag hai

    zinda chita sa 'ishq mein jalta raha hun main

    kahta tha mar Dalega marna tera mujhe

    kaise bataun tujh ko ki jita raha hun main

    deta wajah tu kash mujhe tark-e-'ishq ki

    zulm apne hi KHayal ke sahta raha hun main

    main bhagta raha hun haqiqat se 'ishq ki

    aur 'ishq ke KHayal mein baiTha raha hun main

    she'r-o-suKHan ki rah mein tanhai sath hai

    jo bhi ye bolti hai so dohra raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now