Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gili miTTi se badan bante hue umr lagi

Shamshad shaad

gili miTTi se badan bante hue umr lagi

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    giilī miTTī se badan bante hue umr lagī

    mujh ko sahrā se chaman bante hue umr lagī

    puḳhtagī fikr meñ yak-laḳht kahāñ aatī hai

    merī sochoñ ko suḳhan bante hue umr lagī

    ibn-e-ādam havas se milī sadiyoñ meñ najāt

    bint-e-havvā ko dulhan bante hue umr lagī

    farq hālāñki bahut thoḌā hai donoñ meñ magar

    sar ke āñchal ko kafan bante hue umr lagī

    ham to samjhe the vo mahkegā guloñ mānind

    par use ġhuncha-dahan bante hue umr lagī

    chand lamhoñ meñ taġhayyur ye nahīñ aayā hai

    chhal ko duniyā chalan bante hue umr lagī

    maiñ to bas itnā kahūñgā mirī māyūsī ko

    'shād' aashā kiran bante hue umr lagī

    gili miTTi se badan bante hue umr lagi

    mujh ko sahra se chaman bante hue umr lagi

    puKHtagi fikr mein yak-laKHt kahan aati hai

    meri sochon ko suKHan bante hue umr lagi

    ibn-e-adam ki hawas se mili sadiyon mein najat

    bint-e-hawwa ko dulhan bante hue umr lagi

    farq haalanki bahut thoDa hai donon mein magar

    sar ke aanchal ko kafan bante hue umr lagi

    hum to samjhe the wo mahkega gulon ki manind

    par use ghuncha-dahan bante hue umr lagi

    chand lamhon mein taghayyur ye nahin aaya hai

    chhal ko duniya ka chalan bante hue umr lagi

    main to bas itna kahunga meri mayusi ko

    'shad' aasha ki kiran bante hue umr lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now