gir ga.ī chilman agar tauba zarūr
aap kī qātil nazar tauba zarūr
dekh kar aisī tajallī nuur kī
kaisā sharmāyā qamar tauba zarūr
itnī vus.at meñ samā saktā nahīñ
aap kā dil merā ghar tauba zarūr
bas ḳhalā hī meñ qila taḳhlīq kā
ret ke daldal maiñ ghar tauba zarūr
aap ki ulfat meñ sahrā meñ phirūñ
ḳhvāb bhī dekheñ agar tauba zarūr
toḌ kar dil ab ye kahnā aap kā
jo huā ab ġham na kar tauba zarūr
be-par-e-parvāz uḌnā aap kā
jhuuT siina taan kar tauba zarūr
chiil kā ho ghoñsla aur gosht kā
muflisoñ ke paas zar tauba zarūr
har taraf fāqa-kashī hai bhuuk hai
mulk meñ ifrāt-e-zar tauba zarūr
gir gai chilman agar tauba zarur
aap ki qatil nazar tauba zarur
dekh kar aisi tajalli nur ki
kaisa sharmaya qamar tauba zarur
itni wusat mein sama sakta nahin
aap ka dil mera ghar tauba zarur
bas KHala hi mein qila taKHliq ka
ret ke daldal main ghar tauba zarur
aap ki ulfat mein sahra mein phirun
KHwab bhi dekhen agar tauba zarur
toD kar dil ab ye kahna aap ka
jo hua ab gham na kar tauba zarur
be-par-e-parwaz uDna aap ka
jhuT sina tan kar tauba zarur
chil ka ho ghonsla aur gosht ka
muflison ke pas zar tauba zarur
har taraf faqa-kashi hai bhuk hai
mulk mein ifraat-e-zar tauba zarur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.