girah jo paD gai ranjish mein wo mushkil se niklegi
girah jo paḌ ga.ī ranjish meñ vo mushkil se niklegī
na un ke dil se niklegī na mere dil se niklegī
nahīñ dushvār kuchh apne makāñ se lā-makāñ jaanā
vahīñ pahuñchā.egī jo raah jis manzil se niklegī
mirī kashtī agar chūTegī dariyā-e-mohabbat meñ
to sabse pahle bismillah lab-e-sāhil se niklegī
baḌī saḳhtī se merī jaan niklī hai ka.ī din meñ
yakāyak laash kyūñkar kūcha-e-qātil se niklegī
tarashte haiñ qayāmat ke ġhazab ke raat din fiqre
na.ī jab baat niklegī tirī mahfil se niklegī
rumūz-e-āshiqī ko āshiqo tum 'dāġh' se pūchho
ki bārīkī meñ bārīkī usī kāmil se niklegī
girah jo paD gai ranjish mein wo mushkil se niklegi
na un ke dil se niklegi na mere dil se niklegi
nahin dushwar kuchh apne makan se la-makan jaana
wahin pahunchaegi jo rah jis manzil se niklegi
meri kashti agar chuTegi dariya-e-mohabbat mein
to sabse pahle bismillah lab-e-sahil se niklegi
baDi saKHti se meri jaan nikli hai kai din mein
yakayak lash kyunkar kucha-e-qatil se niklegi
tarashte hain qayamat ke ghazab ke raat din fiqre
nai jab baat niklegi teri mahfil se niklegi
rumuz-e-ashiqi ko aashiqo tum 'dagh' se puchho
ki bariki mein bariki usi kaamil se niklegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.