aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar

Iftikhar Naseem

gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    gire haiñ lafz varaq pe lahū lahū ho kar

    mahāz-e-zīst se lauTā huuñ suraḳh-rū ho kar

    usī diid ko ab raat din taḌapte haiñ

    ki jis se baat na ham ne dū-badū ho kar

    bujhā charāġh hai dil vagarna kaise mujhe

    nazar na aa.egā vo mere chaar ho kar

    ham apne aap mujrim haiñ apne munsif bhī

    ḳhud e'tirāf kareñ apne rū-ba-rū ho kar

    us ek ḳhvāhish-e-dil patā chalā na use

    jo darmiyāñ meñ rahī sirf guftugū ho kar

    maiñ sab meñ rahte hue kis tarah bhulā.ūñ tujhe

    har ek shaḳhs miltā hai mujh ko ho kar

    ab us ke sāmne jaate hue bhī Dartā huuñ

    bhulā diyā thā jise mahv-e-justujū ho kar

    huī na jazb zamīñ meñ to raat bārish

    fazā meñ phail ga.ī ḳhaak rañg-o-bū ho kar

    miTā jo aañkh ke shīshoñ se us aks 'nasīm'

    ragoñ meñ phail gayā ḳhuuñ aarzū ho kar

    gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar

    mahaz-e-zist se lauTa hun suraKH-ru ho kar

    usi ki did ko ab raat din taDapte hain

    ki jis se baat na ki hum ne du-badu ho kar

    bujha charagh hai dil ka wagarna kaise mujhe

    nazar na aaega wo mere chaar su ho kar

    hum apne aap hi mujrim hain apne munsif bhi

    KHud e'tiraf karen apne ru-ba-ru ho kar

    us ek KHwahish-e-dil ka pata chala na use

    jo darmiyan mein rahi sirf guftugu ho kar

    main sab mein rahte hue kis tarah bhulaun tujhe

    har ek shaKHs hi milta hai mujh ko tu ho kar

    ab us ke samne jate hue bhi Darta hun

    bhula diya tha jise mahw-e-justuju ho kar

    hui na jazb zamin mein to raat ki barish

    faza mein phail gai KHak rang-o-bu ho kar

    miTa jo aankh ke shishon se us ka aks 'nasim'

    ragon mein phail gaya KHun ki aarzu ho kar

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 47)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now