girte girte sanbhaal deta hai
girte girte sañbhāl detā hai
mere qadmoñ ko chaal detā hai
jab bhī mushkil meñ dekhtā hai mujhe
raah koī nikāl detā hai
kuchh bhalā duuñ to kaise duuñ us ko
vo salīqe se Taal detā hai
chāhe kitnā javāb duuñ us ko
vo nayā phir savāl detā hai
jab bhī khotī huuñ she'r-goī maiñ
koī misra' uchhāl detā hai
ziist aise basar huī 'muktā'
ye zamāna misāl detā hai
girte girte sanbhaal deta hai
mere qadmon ko chaal deta hai
jab bhi mushkil mein dekhta hai mujhe
rah koi nikal deta hai
kuchh bhala dun to kaise dun us ko
wo saliqe se Tal deta hai
chahe kitna jawab dun us ko
wo naya phir sawal deta hai
jab bhi khoti hun she'r-goi main
koi misra' uchhaal deta hai
zist aise basar hui 'mukta'
ye zamana misal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.