Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girte shish-mahal dekhoge

Khawar Rizvi

girte shish-mahal dekhoge

Khawar Rizvi

MORE BYKhawar Rizvi

    girte shīsh-mahal dekhoge

    aaj nahīñ to kal dekhoge

    is duniyā meñ nayā tamāshā

    har saa.at har pal dekhoge

    kis kis turbat par ro.o.ge

    kis kis maqtal dekhoge

    der hai pahlī buuñd saarī

    phir har-sū jal-thal dekhoge

    har har zaḳhm-e-shajar se 'ḳhāvar'

    phūTtī ik koñpal dekhoge

    girte shish-mahal dekhoge

    aaj nahin to kal dekhoge

    is duniya mein naya tamasha

    har saat har pal dekhoge

    kis kis turbat par rooge

    kis kis ka maqtal dekhoge

    der hai pahli bund ki sari

    phir har-su jal-thal dekhoge

    har har zaKHm-e-shajar se 'KHawar'

    phuTti ek konpal dekhoge

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 944)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now