Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girwida jis ke husn ka sara jahan hai

Abdul Qadir Ahqar Azizi

girwida jis ke husn ka sara jahan hai

Abdul Qadir Ahqar Azizi

MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi

    girvīda jis ke husn saarā jahān hai

    karte haiñ jis se ishq vo urdu zabān hai

    allāh re zabān kyā ān-bān hai

    'iqbāl' hai ruuh to 'ġhālib' jaan hai

    dillī marsiya ho dil meñ vufūr-e-ġham

    dekheñ kalām-e-'mīr' ko kyā is shaan hai

    'saudā' isī ḳhayāl meñ din-rāt mahv the

    un ḳhayāl thā abhī urdu javān hai

    vo lutf vo miThās kahāñ sab ko hai nasīb

    nazm-o-nasr ko dekh lo shīrīñ bayān hai

    ḳhushbū har ek phuul maujūd is meñ hai

    har phuul rañgā-rang hai ik gulistān hai

    tahzīb-e-mushtarak fazīlat liye hue

    nāzāñ isī pe kishvar-e-hindostān hai

    ummīd hai ki is ko milegā faroġh-e-ḳhās

    sarkār is ke haal pe kuchh mehrbān hai

    urdu paḌheñ paḌhā.eñ likheñ bolte raheñ

    'ahqar' yahī to aap ke shāyān-e-shān hai

    girwida jis ke husn ka sara jahan hai

    karte hain jis se ishq wo urdu zaban hai

    allah re zaban ki kya aan-ban hai

    'iqbaal' ki hai ruh to 'ghaalib' ki jaan hai

    dilli ka marsiya ho ya dil mein wufur-e-gham

    dekhen kalam-e-'mir' ko kya is ki shan hai

    'sauda' isi KHayal mein din-raat mahw the

    un ka KHayal tha abhi urdu jawan hai

    wo lutf wo miThas kahan sab ko hai nasib

    nazm-o-nasr ko dekh lo shirin bayan hai

    KHushbu har ek phul ki maujud is mein hai

    har phul ranga-rang hai ek gulistan hai

    tahzib-e-mushtarak ki fazilat liye hue

    nazan isi pe kishwar-e-hindostan hai

    ummid hai ki is ko milega farogh-e-KHas

    sarkar is ke haal pe kuchh mehrban hai

    urdu paDhen paDhaen likhen bolte rahen

    'ahqar' yahi to aap ke shayan-e-shan hai

    Source:

    Sareer (Pg. 119)

    • Author: Abdul Qadir Ahqar Azizi
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now