Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go meri har sans ek paigham-e-sarmasti rahi

Zeb Ghauri

go meri har sans ek paigham-e-sarmasti rahi

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    go mirī har saañs ik paiġhām-e-sarmastī rahī

    merī hastī misl-e-bū-e-gul pareshāñ rahī

    hashr ta.amīr-e-nasheman nazar meñ hai magar

    itne din merī tabī.at to zarā bahlī rahī

    kitnī sub.heñ yaas zulmat meñ āḳhir bujh ga.iiñ

    sham-e-dil jaltī rahī jaltī rahī jaltī rahī

    kis ke roke ruk sakā sail-e-ravān-e-zindagī

    phuul khilte rahe bijlī chamaktī rahī

    'zeb' kitnī der hañgāma-e-sailāb thā

    raunaq-e-dariyā mirī TuuTī huī kashtī rahī

    go meri har sans ek paigham-e-sarmasti rahi

    meri hasti misl-e-bu-e-gul pareshan hi rahi

    hashr tamir-e-nasheman ka nazar mein hai magar

    itne din meri tabiat to zara bahli rahi

    kitni subhen yas ki zulmat mein aaKHir bujh gain

    sham-e-dil jalti rahi jalti rahi jalti rahi

    kis ke roke ruk saka sail-e-rawan-e-zindagi

    phul khilte hi rahe bijli chamakti hi rahi

    'zeb' kitni der ka hangama-e-sailab tha

    raunaq-e-dariya meri TuTi hui kashti rahi

    Source:

    zartaab (Pg. 271)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now