go qusur aap ka muaf hua
go qusūr aap kā mu'āf huā
par marāsim meñ ik shigāf huā
dekhā jis ne bhī gir ga.ī Topī
merā kirdār yuuñ giraffe huā
donoñ ḳhāmoshiyoñ ke qaa.il haiñ
ye na samjho ki iḳhtilāf huā
jyuuñ hī chhatrī ḳharīd kar laa.e
āsmāñ ek pal meñ saaf huā
dushmanoñ kī nazar se jab dekhā
tab kahīñ jā ke qissa saaf huā
ham 'ibādat use samajh leñge
tere ghar kā agar tavāf huā
'talḳh' ko qaid rakkhe bistar meñ
us kā dushman to ye lihāf huā
go qusur aap ka mu'af hua
par marasim mein ek shigaf hua
dekha jis ne bhi gir gai Topi
mera kirdar yun giraffe hua
donon KHamoshiyon ke qail hain
ye na samjho ki iKHtilaf hua
jyun hi chhatri KHarid kar lae
aasman ek pal mein saf hua
dushmanon ki nazar se jab dekha
tab kahin ja ke qissa saf hua
hum 'ibaadat use samajh lenge
tere ghar ka agar tawaf hua
'talKH' ko qaid rakkhe bistar mein
us ka dushman to ye lihaf hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.