Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go uski shakl ab hai kuhan-sal ki tarah

Ehtisham Akhtar

go uski shakl ab hai kuhan-sal ki tarah

Ehtisham Akhtar

MORE BYEhtisham Akhtar

    go us shakl ab hai kuhan-sāl tarah

    bhūlā nahīñ maiñ gaañv chaupāl tarah

    sahrā-e-hirs-o-āz meñ koī to aa.egā

    phailā.ūñ apne aap ko maiñ jaal tarah

    andar ras nichoḌā to shādāb thā bahut

    lagtā thā yuuñ to sūkhī huī Daal tarah

    mujh se kahāñ bachegā ki har rag meñ huuñ nihāñ

    phailā huuñ tere jism meñ maiñ jaal tarah

    kab se hai intizār ki aa.e koī idhar

    maiñ dasht meñ huuñ jāda-e-pāmāl tarah

    go us ki shakl ab hai kuhan-sal ki tarah

    bhula nahin main ganw ki chaupal ki tarah

    sahra-e-hirs-o-az mein koi to aaega

    phailaun apne aap ko main jal ki tarah

    andar ka ras nichoDa to shadab tha bahut

    lagta tha yun to sukhi hui Dal ki tarah

    mujh se kahan bachega ki har rag mein hun nihan

    phaila hun tere jism mein main jal ki tarah

    kab se hai intizar ki aae koi idhar

    main dasht mein hun jada-e-pamal ki tarah

    Source:

    Rakh (Pg. 20)

    • Author: Ehtisham Akhtar
      • Publisher: P. K. Publications, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now