Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha

Kaifi Chirayyakoti

go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha

Kaifi Chirayyakoti

MORE BYKaifi Chirayyakoti

    go yaum-e-badr ma.arka-e-kār-zār thā

    is shakl meñ vo āyat-e-parvardigār thā

    kahte haiñ ek shaḳhs asīrān-e-badr se

    rishte meñ ḳhvesh-e-sayyad-e-vālā-tabār thā

    vo kaun zauj zainab-e-bint-e-rasūl

    bulās vo jo sāhib-e-izz-o-vaqār thā

    thā hukm-e-ām jo zar-e-fidya ke vāste

    dāḳhil har ek is meñ siġhār-o-kibār thā

    makke meñ ye ḳhabar jo ga.ī gūñjtī huī

    chhūTā adā-e-fidya se jo māl-dār thā

    dāmād-e-tājdār-e-madīna asīr-e-ġham

    apne adā-e-fidya se be-iḳhtiyār thā

    zainab ko ḳhabar ye janāb-e-rasūl ne

    fidye hukm-e-ḳhās magar baar baar thā

    jis dam sunā ye hazrat-e-zainab ne mājrā

    fidya diyā vo apne gale jo haar thā

    laayā gayā vo haar huzūr-e-rasūl meñ

    dekhā jo us ko aap dil be-qarār thā

    vo haar kyā thā bāġh-e-mohabbat daaġh thā

    ātish-e-firāq taaza sharār thā

    vo haar thā ki haar sūrat meñ jalva-gar

    dāġh-e-ġham-e-ḳhadīja-e-ulfat-shi.ār thā

    bhaḌkā.ī us ne ātish-e-furqat dabī huī

    ya.anī ġham-e-firāq vo yādgār thā

    vo aqd ya.anī shān-e-mohabbat zinda-dār

    āzādī-e-asīr bhī chāra-kār thā

    'kaifī' yahī vo jur.at-e-iḳhlās ḳhaas thī

    jis se ki qasr-e-dīn-e-mubīñ ustuvār thā

    go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha

    is shakl mein wo aayat-e-parwardigar tha

    kahte hain ek shaKHs asiran-e-badr se

    rishte mein KHwesh-e-sayyad-e-wala-tabar tha

    wo kaun zauj zainab-e-bint-e-rasul ka

    bulas wo jo sahib-e-izz-o-waqar tha

    tha hukm-e-am jo zar-e-fidya ke waste

    daKHil har ek is mein sighaar-o-kibar tha

    makke mein ye KHabar jo gai gunjti hui

    chhuTa ada-e-fidya se jo mal-dar tha

    damad-e-tajdar-e-madina asir-e-gham

    apne ada-e-fidya se be-iKHtiyar tha

    zainab ko di KHabar ye janab-e-rasul ne

    fidye ka hukm-e-KHas magar bar bar tha

    jis dam suna ye hazrat-e-zainab ne majra

    fidya diya wo apne gale ka jo haar tha

    laya gaya wo haar huzur-e-rasul mein

    dekha jo us ko aap ka dil be-qarar tha

    wo haar kya tha bagh-e-mohabbat ka dagh tha

    ya aatish-e-firaq ka taza sharar tha

    wo haar tha ki haar ki surat mein jalwa-gar

    dagh-e-gham-e-KHadija-e-ulfat-shiar tha

    bhaDkai us ne aatish-e-furqat dabi hui

    yani gham-e-firaq ki wo yaadgar tha

    wo aqd yani shan-e-mohabbat ka zinda-dar

    aazadi-e-asir ka bhi chaara-kar tha

    'kaifi' yahi wo jurat-e-iKHlas KHas thi

    jis se ki qasr-e-din-e-mubin ustuwar tha

    Source:

    Armughan-e-Naat (Pg. 121)

      • Publisher: Maktaba Deen-o-Adab, Lucknow
      • Year of Publication: 1964
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now