Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane

Saleem Kausar

ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    ġhubār hotī sadī ke sahrāoñ se ubharte hue zamāne

    na.e zamānoñ meñ aa.e tujh ko talāsh karte hue zamāne

    udaas shāmoñ sard rātoñ meñ tere ushshāq dekhte haiñ

    palak jhapakte hue darīchoñ meñ sub.h karte hue zamāne

    agar ye sab kārobār-e-hastī tirī tavajjoh se haT gayā hai

    to phir ye kis ne sambhāl rakkhe haiñ sab bikharte hue zamāne

    bisāt-e-imkān par taġhayyur husn mohre badal rahā hai

    charāġh-e-hairat lau meñ zinda haiñ raqs karte hue zamāne

    zamīn sūraj ke gird apne madār meñ ghūmtī hai jaise

    tirī galī tavāf karte haiñ yuuñ guzarte hue zamāne

    ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane

    nae zamanon mein aae tujh ko talash karte hue zamane

    udas shamon ki sard raaton mein tere ushshaq dekhte hain

    palak jhapakte hue darichon mein subh karte hue zamane

    agar ye sab karobar-e-hasti teri tawajjoh se haT gaya hai

    to phir ye kis ne sambhaal rakkhe hain sab bikharte hue zamane

    bisat-e-imkan par taghayyur ka husn mohre badal raha hai

    charagh-e-hairat ki lau mein zinda hain raqs karte hue zamane

    zamin suraj ke gird apne madar mein ghumti hai jaise

    teri gali ka tawaf karte hain yun guzarte hue zamane

    Source:

    duniya aarzoo se kam hai (Pg. 12)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now