Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghubar kis ka hai istiara ye gard kis waste uDi hai

Jamal Owaisi

ghubar kis ka hai istiara ye gard kis waste uDi hai

Jamal Owaisi

MORE BYJamal Owaisi

    ġhubār kis hai isti.āra ye gard kis vāste uḌī hai

    yahāñ vahāñ ek ek zarre meñ sar-kashī kis ne Daal hai

    bikhar ga.ī hai purānī tartīb saare unsur alag hue haiñ

    har ek apne meñ ik mukammal vajūdiyat alāmatī hai

    jahāñ pe zarrāt sulag thī vahāñ pe idrāk tham gayā thā

    basīrat apnī bhī us ke aage hazār chāhā na sakī hai

    nafas pe ġhālib hai nafs takiya harām se sochnā samajhnā

    zamīr jaage to aah bhar lo ki ab qayāmat aa rahī hai

    mujhe pukāro mujhe sadā do maiñ ek khoyā huā bashar huuñ

    shu.ūr meñ lā-shu.ūr tarah ek āvāz gūñjtī hai

    khaḌā huuñ maiñ das hazār saala qadīm duniyā ke biich 'ovaisī'

    ulaT ke tārīḳh ke varaq zindagī mujhe kuchh sunā rahī hai

    tilism kaisā hai us ne mere havās qaabū meñ kar liye haiñ

    maiñ us ko pahchāntā nahīñ huuñ jo merī chaukhaT pe aa chukī hai

    ghubar kis ka hai istiara ye gard kis waste uDi hai

    yahan wahan ek ek zarre mein sar-kashi kis ne Dal di hai

    bikhar gai hai purani tartib sare unsur alag hue hain

    har ek apne mein ek mukammal wajudiyat ka alamati hai

    jahan pe zarraat ki sulag thi wahan pe idrak tham gaya tha

    basirat apni bhi us ke aage hazar chaha na ja saki hai

    nafas pe ghaalib hai nafs takiya haram se sochna samajhna

    zamir jage to aah bhar lo ki ab qayamat hi aa rahi hai

    mujhe pukaro mujhe sada do main ek khoya hua bashar hun

    shuur mein la-shuur ki tarah ek aawaz gunjti hai

    khaDa hun main das hazar sala qadim duniya ke bich 'owaisi'

    ulaT ke tariKH ke waraq zindagi mujhe kuchh suna rahi hai

    tilism kaisa hai us ne mere hawas qabu mein kar liye hain

    main us ko pahchanta nahin hun jo meri chaukhaT pe aa chuki hai

    Source :
    • Book : Shor ke darmayan (Pg. 81)
    • Author : Jamal Owaisi
    • Publication : Educational Publishing House (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now