Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    gul aur bulbul sohbat ko chaman shāna hai

    sarv hai juuñ sham' tis par fāḳhta parvāna hai

    roz o shab nauha zaarī hai āh-o-fuġhāñ

    ilāhī ye koī dil hai ki mātam-ḳhāna hai

    tan kar us teġh ke aage huā hai sar-ba-kaf

    hai qayāmat hai ġhazab ye dil hai dīvāna hai

    bulbul-e-tasvīr mānind said-e-dil ke ta.iiñ

    ne havā uḌne ne parvā-e-āb-o-dāna hai

    ek hālat par na dekhā us ko ham ne ek aan

    gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parvāna hai

    mo.atakif ho shaiḳh apne dil meñ masjid se nikal

    sāhib-e-dil baġhal meñ dil ibādat-ḳhāna hai

    mai-kasho mujh ko tumhārī bazm hasrat nahīñ

    paas mere diida o dil shīsha o paimāna hai

    ḳhvāb meñ the jab talak thā dil meñ duniyā ḳhayāl

    khul ga.iiñ āñkheñ to dekhā ham ne sab afsāna hai

    she’r ustādāna o 'hātim' hai be-bākāna-vaz.a

    tab' āzādāna o auqāt darveshāna hai

    gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai

    sarw hai jun sham' tis par faKHta parwana hai

    roz o shab ya nauha ya zari hai ya aah-o-fughan

    ya ilahi ye koi dil hai ki matam-KHana hai

    tan kar us ki tegh ke aage hua hai sar-ba-kaf

    hai qayamat hai ghazab ye dil hai ya diwana hai

    bulbul-e-taswir ki manind said-e-dil ke tain

    ne hawa uDne ki ne parwa-e-ab-o-dana hai

    ek haalat par na dekha us ko hum ne ek aan

    gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parwana hai

    moatakif ho shaiKH apne dil mein masjid se nikal

    sahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-KHana hai

    mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin

    pas mere dida o dil shisha o paimana hai

    KHwab mein the jab talak tha dil mein duniya ka KHayal

    khul gain aankhen to dekha hum ne sab afsana hai

    she’r ustadana o 'hatim' hai be-bakana-waza

    tab' aazadana o auqat darweshana hai

    Source:

    Diwan-e-Zadah (Pg. 292)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now