gul ki chaTak pe os ne angDai toD di
gul kī chaTak pe os ne añgḌā.ī toḌ dī
naġhma-sarā-e-ḳhvāb ne shahnā.ī toḌ dī
chaspāñ the us pe hijr ke aḳhbār-e-be-zabāñ
tū ne vo khiḌkī kaise mire bhaa.ī toḌ dī
sote the jis ko rakh ke sirhāne tire faqīr
kis ne vo ḳhisht-e-qil'a-e-chuġhtā.ī toḌ dī
ik ārzū-e-jur'a-e-ḳhūñ se girafta-jāñ
mīnā-e-ḳhām thī dil-e-saudā.ī toḌ dī
vahshat ḳhabar hai ḳhāna-e-dil ke makīn ne
dīvār-o-dar se rasm-e-shanāsā.ī toḌ dī
go is 'amal se TuuT ga.e ustuḳhvāñ magar
zanjīr se ḳhamoshī-e-tanhā.ī toḌ dī
gul ki chaTak pe os ne angDai toD di
naghma-sara-e-KHwab ne shahnai toD di
chaspan the us pe hijr ke aKHbar-e-be-zaban
tu ne wo khiDki kaise mere bhai toD di
sote the jis ko rakh ke sirhane tere faqir
kis ne wo KHisht-e-qil'a-e-chughtai toD di
ek aarzu-e-jur'a-e-KHun se girafta-jaan
mina-e-KHam thi dil-e-saudai toD di
wahshat KHabar hai KHana-e-dil ke makin ne
diwar-o-dar se rasm-e-shanasai toD di
go is 'amal se TuT gae ustuKHwan magar
zanjir se KHamoshi-e-tanhai toD di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.