Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul ko bu bulbul ko naghma chahiye

Taj Payami

gul ko bu bulbul ko naghma chahiye

Taj Payami

MORE BYTaj Payami

    gul ko bulbul ko naġhma chāhiye

    ai dil-e-muztar tujhe kyā chāhiye

    nīm-shab meñ ho tulū-e-āftāb

    ai ġham-e-dil aisā naġhma chāhiye

    ye sitāre qatra-e-shabnam baneñ

    soz-e-dil pur-dard naala chāhiye

    bahut achchhā hai lekin ai nigār

    dil ko kuchh tujh se bhī achchhā chāhiye

    merī hastī ko ināyat nazar

    ḳhirman-e-dahqāñ ko sho.ala chāhiye

    ramz-e-ulfat hai yahī ahl-e-vafā

    aa.ina dil shikasta chāhiye

    gesū-e-jānāñ agar suljhā to kyā

    gesū-e-getī sañvarnā chāhiye

    zindagī-e-ḳhizr hājat nahīñ

    sarḳhushī ek lamha chāhiye

    dil ḳhvāhish hājat-e-darvesh hai

    tere dar se kuchh to milnā chāhiye

    maiñ nasīm-e-sub.h huuñ mujhe se hijāb

    ai urūs-e-lāla aisā chāhiye

    'tāj' hai banda tirā husn-e-azal

    kyā bhalā is se bhī parda chāhiye

    gul ko bu bulbul ko naghma chahiye

    ai dil-e-muztar tujhe kya chahiye

    nim-shab mein ho tulu-e-aftab

    ai gham-e-dil aisa naghma chahiye

    ye sitare qatra-e-shabnam banen

    soz-e-dil pur-dard nala chahiye

    tu bahut achchha hai lekin ai nigar

    dil ko kuchh tujh se bhi achchha chahiye

    meri hasti ko inayat ki nazar

    KHirman-e-dahqan ko shoala chahiye

    ramz-e-ulfat hai yahi ahl-e-wafa

    aaina dil ka shikasta chahiye

    gesu-e-jaanan agar suljha to kya

    gesu-e-geti sanwarna chahiye

    zindagi-e-KHizr ki hajat nahin

    sarKHushi ka ek lamha chahiye

    dil ki KHwahish hajat-e-darwesh hai

    tere dar se kuchh to milna chahiye

    main nasim-e-subh hun mujhe se hijab

    ai urus-e-lala aisa chahiye

    'taj' hai banda tera husn-e-azal

    kya bhala is se bhi parda chahiye

    Source:

    Aaina (Pg. 78)

    • Author: Taj Payami
      • Publisher: Halqa-e-Ahbab, Desna, Patna
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now