Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-o-bulbul ke jhagDon ko sar-e-gulzar rahne de

Hamid Azimabadi

gul-o-bulbul ke jhagDon ko sar-e-gulzar rahne de

Hamid Azimabadi

MORE BYHamid Azimabadi

    gul-o-bulbul ke jhagḌoñ ko sar-e-gulzār rahne de

    hikāyat merī sun le qissa-e-bekār rahne de

    dil-e-āshiq meñ apne ishq āzār rahne de

    mire pahlū meñ ye tīr-e-jigar-afgār rahne de

    sunā ne nahīñ kyā tuur par muusā ġhash khānā

    tamanna apnī dil meñ tālib-e-dīdār rahne de

    pasand aatī hai ye terī adā jāñ-bāz-e-ulfat ko

    sitamgar abhī zeb-e-kamar talvār rahne de

    tujhe va.ade shab sūjhī hinā-bandī kyoñ sūjhī

    ye hiile ye bahāne mujh se ai ayyār rahne de

    tire kushte to lākhoñ chuke gor-e-ġharībāñ ko

    mirī mayyat to ai zālim pas-e-dīvār rahne de

    gul-o-bulbul ke jhagDon ko sar-e-gulzar rahne de

    hikayat meri sun le qissa-e-bekar rahne de

    dil-e-ashiq mein apne ishq ka aazar rahne de

    mere pahlu mein ye tir-e-jigar-afgar rahne de

    suna tu ne nahin kya tur par musa ka ghash khana

    tamanna apni dil mein talib-e-didar rahne de

    pasand aati hai ye teri ada jaan-baz-e-ulfat ko

    sitamgar tu abhi zeb-e-kamar talwar rahne de

    tujhe wade ki shab sujhi hina-bandi ki kyon sujhi

    ye hile ye bahane mujh se ai ayyar rahne de

    tere kushte to lakhon ja chuke gor-e-ghariban ko

    meri mayyat to ai zalim pas-e-diwar rahne de

    Source:

    (Pg. 263)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now