Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

Habeeb Moosavi

gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    guloñ daur hai bulbul maze bahār meñ luuT

    ḳhizāñ machāegī aate is dayār meñ luuT

    kushūd-e-kār koshish meñ de na hirs ko daḳhl

    shikast detī hai faujoñ ko kār-zār meñ luuT

    lubhā.e saikḌoñ dil un ke ḳhāl-e-āriz ne

    machā.e zañgiyoñ ne vādī-e-tatār meñ luuT

    vo muntazim hai rahe jis juz-o-kul pe nazar

    na kar sake koī gūñgīr kārobār meñ luuT

    jahāñ meñ hotī hai ehsān jazā ehsān

    savāb nekiyoñ ke daur-e-iḳhtiyār meñ luuT

    'abas hai buuñd chūkā agar ghaḌe Dhalkā.e

    hamesha naqd meñ vaarā hai yaañ udhār meñ luuT

    kiye haiñ sheb ne sab jism ke qavā kamzor

    shurūa ho ga.ī har samt is hisār meñ luuT

    hujūm-e-yās meñ chhoḌ ai ummīd kishvar-e-dil

    hai qatl-e-ām ġhul shahr meñ javār meñ luuT

    bane vo fāteh-e-kaunain ḳhush ho jis se

    ziyāda ganj-e-kavākib se ho shumār meñ luuT

    dayār-e-dil meñ hai phir dāġh-e-ishq toḌā

    junūñ matā-e-havas mausam-e-bahār meñ luuT

    bharī hai taaza har ek sar meñ shor-o-shar havā

    'ajab nahīñ jo mache bāġh-e-rozgār meñ luuT

    'habīb' mashq-e-riyāzat se kho ke zañg-e-duī

    maze visāl ke har dam firāq-e-yār meñ luuT

    gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

    KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT

    kushud-e-kar ki koshish mein de na hirs ko daKHl

    shikast deti hai faujon ko kar-zar mein luT

    lubhae saikDon dil un ke KHal-e-ariz ne

    machae zangiyon ne wadi-e-tatar mein luT

    wo muntazim hai rahe jis ki juz-o-kul pe nazar

    na kar sake koi gungir karobar mein luT

    jahan mein hoti hai ehsan ki jaza ehsan

    sawab nekiyon ke daur-e-iKHtiyar mein luT

    'abas hai bund ka chuka agar ghaDe Dhalkae

    hamesha naqd mein wara hai yan udhaar mein luT

    kiye hain sheb ne sab jism ke qawa kamzor

    shurua ho gai har samt is hisar mein luT

    hujum-e-yas mein chhoD ai ummid kishwar-e-dil

    hai qatl-e-am ka ghul shahr mein jawar mein luT

    bane wo fateh-e-kaunain KHush ho tu jis se

    ziyaada ganj-e-kawakib se ho shumar mein luT

    dayar-e-dil mein hai phir dagh-e-ishq ka toDa

    junun mata-e-hawas mausam-e-bahaar mein luT

    bhari hai taza har ek sar mein shor-o-shar ki hawa

    'ajab nahin jo mache bagh-e-rozgar mein luT

    'habib' mashq-e-riyazat se kho ke zang-e-dui

    maze visal ke har dam firaq-e-yar mein luT

    Source:

    Deewan-e-habeeb (Pg. ebook-90 page-71)

    • Author: Habeeb Moosavi
      • Publisher: Ufuq Matba Shamshi, Hydrabad
      • Year of Publication: 1900
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now