gulon ke sho’la-sifat manzaron mein chhup sa gaya
guloñ ke sho’la-sifat manzaroñ meñ chhup sā gayā
vo dublā-patlā badan ḳhushbuoñ meñ chhup sā gayā
suhāne ḳhvāboñ kā ik shahr shaam hote hī
jale charāġh to parchhā.iyoñ meñ chhup sā gayā
gale lagā rahā zulmat ke rāt-bhar koī
sahar huī to khule bāzuoñ meñ chhup sā gayā
na jaane kaun se dariyā se jā milīñ lahreñ
lahū kā shor phaḌaktī ragoñ meñ chhup sā gayā
kisī ke naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī kyā dete
vo sang-e-mīl hī jab rāstoñ meñ chhup sā gayā
galī meñ ret ke āñgan kā kuchh pata na chalā
bagūlā uḌte hue kāġhazoñ meñ chhup sā gayā
karāhte hue lamhoñ ko chhoḌ kar ai 'shād'
kisī kī chaah kā din parbatoñ meñ chhup sā gayā
gulon ke sho’la-sifat manzaron mein chhup sa gaya
wo dubla-patla badan KHushbuon mein chhup sa gaya
suhane KHwabon ka ek shahr sham hote hi
jale charagh to parchhaiyon mein chhup sa gaya
gale laga raha zulmat ke raat-bhar koi
sahar hui to khule bazuon mein chhup sa gaya
na jaane kaun se dariya se ja milin lahren
lahu ka shor phaDakti ragon mein chhup sa gaya
kisi ke naqsh-e-kaf-e-pa dikhai kya dete
wo sang-e-mil hi jab raston mein chhup sa gaya
gali mein ret ke aangan ka kuchh pata na chala
bagula uDte hue kaghazon mein chhup sa gaya
karahte hue lamhon ko chhoD kar ai 'shad'
kisi ki chah ka din parbaton mein chhup sa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.