Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulon ki mahak chand taron ki KHushbu

Syeda Shan-e-Meraj

gulon ki mahak chand taron ki KHushbu

Syeda Shan-e-Meraj

MORE BYSyeda Shan-e-Meraj

    guloñ mahak chāñd tāroñ ḳhushbū

    nazar saath laa.ī nazāroñ ḳhushbū

    zamīñ ke qadam chāñd se lauT aa.e

    muqaddar na thī māh-pāroñ ḳhushbū

    safīna abhī sail-e-amvāj meñ hai

    magar aa rahī hai kināroñ ḳhushbū

    pas-e-kārvān-e-vafā rah ga.ī hai

    ta'alluq ke bichhḌe ġhubāroñ ḳhushbū

    chaman fazāoñ meñ huuñ 'shān' lekin

    kahīñ kho ga.ī hai bahāroñ ḳhushbū

    gulon ki mahak chand taron ki KHushbu

    nazar sath lai nazaron ki KHushbu

    zamin ke qadam chand se lauT aae

    muqaddar na thi mah-paron ki KHushbu

    safina abhi sail-e-amwaj mein hai

    magar aa rahi hai kinaron ki KHushbu

    pas-e-karwan-e-wafa rah gai hai

    ta'alluq ke bichhDe ghubaron ki KHushbu

    chaman ki fazaon mein hun 'shan' lekin

    kahin kho gai hai bahaaron ki KHushbu

    Source:

    Saahil Seep Samandar (Pg. 114)

    • Author: Syeda Shan-e-Meraj
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now