Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulon ki palki mein hai bahaaron ki wo beTi hai

Rasheed Hasrat

gulon ki palki mein hai bahaaron ki wo beTi hai

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    guloñ pālkī meñ hai bahāroñ vo beTī hai

    chahetī chāñd raushan sitāroñ vo beTī hai

    hamārī izzateñ sāñjhī haiñ bolī koī bhī boleñ

    kisī bhī ek iffat so chāroñ vo beTī hai

    vo chaltī hai to rāhoñ meñ surīle saaz bajte haiñ

    kisī ujlī nadī ke shoḳhdhāroñ vo beTī hai

    kiyā hai be-ridā jis ne mire dahqāñ beTī ko

    vatan ke nām-levā ġhamgusāroñ vo beTī hai

    baḌī muddat talak jis bahn ko ham ne adū samjhā

    sitam sahtī rahī hai kohsāroñ vo beTī hai

    surīlī bāñsurī taan us guftugū Thahrī

    tarāshīda parī-ruḳh shāhkāroñ vo beTī hai

    hamārī zindagī be-kaif guzrī hai 'rashīd-hasrat'

    nahīñ jis meñ koī sukh regzāroñ vo beTī hai

    gulon ki palki mein hai bahaaron ki wo beTi hai

    chaheti chand ki raushan sitaron ki wo beTi hai

    hamari izzaten sanjhi hain boli koi bhi bolen

    kisi bhi ek ki iffat so chaaron ki wo beTi hai

    wo chalti hai to rahon mein surile saz bajte hain

    kisi ujli nadi ke shoKHdhaaron ki wo beTi hai

    kiya hai be-rida jis ne mere dahqan ki beTi ko

    watan ke nam-lewa ghamgusaron ki wo beTi hai

    baDi muddat talak jis bahn ko hum ne adu samjha

    sitam sahti rahi hai kohsaron ki wo beTi hai

    surili bansuri ki tan us ki guftugu Thahri

    tarashida pari-ruKH shahkaron ki wo beTi hai

    hamari zindagi be-kaif guzri hai 'rashid-hasrat'

    nahin jis mein koi sukh regzaron ki wo beTi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now