Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di

Shifa Gwaliari

gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di

Shifa Gwaliari

MORE BYShifa Gwaliari

    guloñ ko tāzgī tāroñ ko ne dilkashī de

    mire dil kalī ko jaane kyoñ afsurdagī diidī

    ba-qadr-e-zarf us ne āgahī-o-gumrahī de

    ḳhudī de kisī ko aur kisī ko be-ḳhudī de

    zamāna kuchh kahe ai dost lekin shukriya terā

    koī to maslahat thī jo mujhe dīvāngī de

    mirī nākāmiyāñ kaam aa.iiñ rāh-e-ulfat meñ

    ġhubār-e-kārvāñ ne himmat-e-manzil-rasī de

    na pūchh ai ham-nashīñ āzurda-e-anjām-e-ishrat ho

    ġham is kar rahā huuñ us ne kyoñ mujh ko ḳhushī de

    kisī pursish-e-ḳhāmosh bhī ik husn-e-pursish thā

    ki jis ne phir hamārī zindagī ko zindagī de

    haqīqat meñ junūn-e-ishq me.arāj-e-mohabbat hai

    use sab kuchh diyā ne jise dīvāngī de

    dam-e-āḳhir jo dam bhar ko chale aaoge bālīñ par

    to ye samjhūñgā maiñ lākhoñ baras zindagī de

    zarūrat iltijāoñ na hājat hai duāoñ

    'shifā' ġham kyā diyā us ne masarrat dā.imī de

    gulon ko tazgi taron ko tu ne dilkashi de di

    mere dil ki kali ko jaane kyon afsurdagi didi

    ba-qadr-e-zarf us ne aagahi-o-gumrahi de di

    KHudi de di kisi ko aur kisi ko be-KHudi de di

    zamana kuchh kahe ai dost lekin shukriya tera

    koi to maslahat thi jo mujhe diwangi de di

    meri nakaamiyan hi kaam aain rah-e-ulfat mein

    ghubar-e-karwan ne himmat-e-manzil-rasi de di

    na puchh ai ham-nashin aazurda-e-anjam-e-ishrat ho

    gham is ka kar raha hun us ne kyon mujh ko KHushi de di

    kisi ki pursish-e-KHamosh bhi ek husn-e-pursish tha

    ki jis ne phir hamari zindagi ko zindagi de di

    haqiqat mein junun-e-ishq mearaj-e-mohabbat hai

    use sab kuchh diya tu ne jise diwangi de di

    dam-e-aKHir jo dam bhar ko chale aaoge baalin par

    to ye samjhunga main lakhon baras ki zindagi de di

    zarurat iltijaon ki na hajat hai duaon ki

    'shifa' gham kya diya us ne masarrat daimi de di

    Source:

    Aayat-e-Shifa (Pg. 43)

    • Author: Shifa Gwaliari
      • Publisher: Alvi Press, Bhopal
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now