Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah

Mukhtar Ashiqi Jaunpuri

gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah

Mukhtar Ashiqi Jaunpuri

MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri

    guloñ meñ rang kahāñ hai tire badan tarah

    tirā badan hai sitāroñ anjuman tarah

    vahī jo log the āvāra be-vatan tarah

    unhīñ ke dam se bayābāñ huā chaman tarah

    ye hai fareb-e-nazar bahār mausam

    sajā huā hai gulistāñ mirā dulhan tarah

    junūn-e-shauq mirā kāmyāb ho gayā

    lage hai mujh ko bayābāñ bhī ab chaman tarah

    vo zindagī to nahīñ zindagī mātam hai

    jo zindagī ho vatan meñ be-vatan tarah

    shab-e-firāq hai ġham hai ḳhalish hai aañsū hai

    mirī hayāt hai tanhā bhī anjuman tarah

    jahāñ bhī maiñ ne qadam apnā rakh diyā 'muḳhtār'

    mahak uThe vahīñ kāñTe bhī nastaran tarah

    gulon mein rang kahan hai tere badan ki tarah

    tera badan hai sitaron ki anjuman ki tarah

    wahi jo log the aawara be-watan ki tarah

    unhin ke dam se bayaban hua chaman ki tarah

    ye hai fareb-e-nazar ya bahaar ka mausam

    saja hua hai gulistan mera dulhan ki tarah

    junun-e-shauq mera kaamyab ho hi gaya

    lage hai mujh ko bayaban bhi ab chaman ki tarah

    wo zindagi to nahin zindagi ka matam hai

    jo zindagi ho watan hi mein be-watan ki tarah

    shab-e-firaq hai gham hai KHalish hai aansu hai

    meri hayat hai tanha bhi anjuman ki tarah

    jahan bhi main ne qadam apna rakh diya 'muKHtar'

    mahak uThe wahin kanTe bhi nastaran ki tarah

    Source:

    Paiman-e-Qalam (Pg. 147)

    • Author: Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
      • Publisher: Salman Jaunpuri
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now