Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulshan mein abhi jashn ka hangam nahin hai

Zubaida Tahseen

gulshan mein abhi jashn ka hangam nahin hai

Zubaida Tahseen

MORE BYZubaida Tahseen

    gulshan meñ abhī jashn hañgām nahīñ hai

    gardish meñ abhī gardish-e-ayyām nahīñ hai

    pheñkī to haiñ ham ne bhī sitāroñ pe kamandeñ

    parvāz abhī apnī lab-e-bām nahīñ hai

    har gosha chaman mujhe maqtal lagā hai

    DhūñDe se bhī qātil kahīñ naam nahīñ hai

    kaliyoñ ke laboñ par abhī phīkā hai tabassum

    phūloñ meñ abhī nāma-o-paiġhām nahīñ hai

    hai tez bahut qāfila-e-sub.h-e-bahārāñ

    āġhāz to har chiiz anjām nahīñ hai

    gulshan mein abhi jashn ka hangam nahin hai

    gardish mein abhi gardish-e-ayyam nahin hai

    phenki to hain hum ne bhi sitaron pe kamanden

    parwaz abhi apni lab-e-baam nahin hai

    har gosha chaman ka mujhe maqtal sa laga hai

    DhunDe se bhi qatil ka kahin nam nahin hai

    kaliyon ke labon par abhi phika hai tabassum

    phulon mein abhi nama-o-paigham nahin hai

    hai tez bahut qafila-e-subh-e-bahaaran

    aaghaz to har chiz ka anjam nahin hai

    Source:

    Dasht-e-Tamanna (Pg. 38)

    • Author: Zubaida Tahseen
      • Publisher: Mahfil-e-Khwateen
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now