aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai

Lalan Chaudhary

gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai

Lalan Chaudhary

MORE BYLalan Chaudhary

    gulzār meñ raftār-e-sabā aur kuchh hai

    us shoḳh ke chalne adā aur kuchh hai

    kartī hai ḳhunuk dil tapish bād-e-sahar bhī

    lekin tire dāman havā aur kuchh hai

    shāyad vo shabāb aane se āgāh huā hai

    palkeñ haiñ jhukīñ rañg-e-hayā aur kuchh hai

    kis shoḳh ne zulfoñ ko havā meñ hai uḌāyā

    ye tauba-shikan kālī-ghaTā aur kuchh hai

    kahne ko to har fard-o-bashar sab haiñ barābar

    duniyā meñ magar shor bapā aur kuchh hai

    bekas lahū sho.ala na ban jaa.e sambhalnā

    paiġhām sunātī ye havā aur kuchh hai

    vo laakh sitam Dhā.eñ kabhī uf na karūñgā

    aafat mirā dastūr-e-vafā aur kuchh hai

    gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai

    us shoKH ke chalne ki ada aur hi kuchh hai

    karti hai KHunuk dil ki tapish baad-e-sahar bhi

    lekin tere daman ki hawa aur hi kuchh hai

    shayad wo shabab aane se aagah hua hai

    palken hain jhukin rang-e-haya aur hi kuchh hai

    kis shoKH ne zulfon ko hawa mein hai uDaya

    ye tauba-shikan kali-ghaTa aur hi kuchh hai

    kahne ko to har fard-o-bashar sab hain barabar

    duniya mein magar shor bapa aur hi kuchh hai

    bekas ka lahu shoala na ban jae sambhalna

    paigham sunati ye hawa aur hi kuchh hai

    wo lakh sitam Dhaen kabhi uf na karunga

    aafat mera dastur-e-wafa aur hi kuchh hai

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 33)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now