gum-shuda raston ke musafir
gum-shuda rāstoñ ke musāfir
itnī dushvāriyāñ kis kī ḳhātir
apnī gum-gashtagī meñ tū maujūd
gum huā huuñ maiñ ho kar bhī hāzir
tere hone se hai kis ko inkār
mere hone se haiñ sab hī munkir
ham daraḳhtoñ se katrā ke guzre
ai havā tū huī kab se jābir
raat ro-ro ke tāroñ se pūchhe
kyā huā mere sūraj ko āḳhir
tū mirā aa.ina ho na paayā
maiñ nahīñ ho sakā ḳhud pe zāhir
gum-shuda raston ke musafir
itni dushwariyan kis ki KHatir
apni gum-gashtagi mein tu maujud
gum hua hun main ho kar bhi hazir
tere hone se hai kis ko inkar
mere hone se hain sab hi munkir
hum daraKHton se katra ke guzre
ai hawa tu hui kab se jabir
raat ro-ro ke taron se puchhe
kya hua mere suraj ko aaKHir
tu mera aaina ho na paya
main nahin ho saka KHud pe zahir
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 55)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.