Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guman hai barq-e-tapan ko shayad idhar wo azm-e-jawan nahin hai

Talha Rizvi Barq

guman hai barq-e-tapan ko shayad idhar wo azm-e-jawan nahin hai

Talha Rizvi Barq

MORE BYTalha Rizvi Barq

    gumāñ hai barq-e-tapāñ ko shāyad idhar vo azm-e-javāñ nahīñ hai

    jo bāl-o-par haiñ mire salāmat to āshiyāna kahāñ nahīñ hai

    mire jinnoñ se sañvar ga.ī hai urūs-e-daurāñ zulf-e-pur-ḳham

    na ho jo rangīñ lahū se mere kahīñ koī dāstāñ nahīñ hai

    huuñ ḳhud maiñ ḳhūgar-e-havādis jo mauj-e-tūfāñ se kheltā huuñ

    ġhalat samajhte haiñ ahl-e-sāhil safīna-o-bādbāñ nahīñ hai

    maiñ dasht-e-pur-haul tak gayā huuñ talāsh-e-manzil meñ pā-ba-jaulāñ

    junūn-e-vārafta merā hargiz asīr-e-kū-e-butāñ nahīñ hai

    nizām-e-mai-ḳhāna munhasir hai pasand-e-rindān-e-bāda-kash par

    ḳhilāf-e-jamhūr-e-mai-kada ho bahāl pīr-e-muġhāñ nahīñ hai

    guman hai barq-e-tapan ko shayad idhar wo azm-e-jawan nahin hai

    jo baal-o-par hain mere salamat to aashiyana kahan nahin hai

    mere jinnon se sanwar gai hai urus-e-dauran ki zulf-e-pur-KHam

    na ho jo rangin lahu se mere kahin koi dastan nahin hai

    hun KHud hi main KHugar-e-hawadis jo mauj-e-tufan se khelta hun

    ghalat samajhte hain ahl-e-sahil safina-o-baadban nahin hai

    main dasht-e-pur-haul tak gaya hun talash-e-manzil mein pa-ba-jaulan

    junun-e-warafta mera hargiz asir-e-ku-e-butan nahin hai

    nizam-e-mai-KHana munhasir hai pasand-e-rindan-e-baada-kash par

    KHilaf-e-jamhur-e-mai-kada ho bahaal pir-e-mughan nahin hai

    Source:

    Shaigan (Pg. 60)

    • Author: Talha Rizvi Barq
      • Publisher: Danish Academy, Bihar
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now